एक इच्छा लड़की की चूड़ियों में चलती है
पहले वह टूटें उसके बिस्तर पर
फिर टूटें उसकी चौखट पर
क्योंकि लड़की के भीतर एक शोकमयी औरत है
और जो विधवा है
है नहीं लेकिन
हो जाएगी जो
लड़की का डर उसकी धमनियों से काँपता
चूड़ियों तक चलता है
काँपती है उनमें लड़की की इच्छा
काँपता है उनमें लड़की का शोक
आदमी कहाँ है लड़की का?
आदमी जिसका मातम उसकी धमनियों में है
और इच्छा जिसकी उसकी चूड़ियों में
आदमी उसका फँसा है
किसी दूसरी देह में
किसी दूसरे सपने में,
दूसरे दुख, दूसरे आँसू में
उसका हर दुख, सपना, आँसू
लड़की की मातमी पकड़ से परे है...
लेकिन लड़की तो लड़की है
उसमें वही आदिम भोलापन
पागलपन, मरनपन भरा है
जिसकी सज़ा
किसी आने वाले कल
वह उस आदमी को देगी
जब तोड़ेगी अपनी चूड़ियाँ...
ek ichha laDki ki chuDiyon mein chalti hai
pahle wo tuten uske bistar par
phir tuten uski chaukhat par
kyonki laDki ke bhitar ek shokamyi aurat hai
aur jo widhwa hai
hai nahin lekin
ho jayegi jo
laDki ka Dar uski dhamaniyon se kanpta
chuDiyon tak chalta hai
kanpti hai unmen laDki ki ichha
kanpta hai unmen laDki ka shok
adami kahan hai laDki ka?
adami jiska matam uski dhamaniyon mein hai
aur ichha jiski uski chuDiyon mein
adami uska phansa hai
kisi dusri deh mein
kisi dusre sapne mein,
dusre dukh, dusre ansu mein
uska har dukh, sapna, ansu
laDki ki matami pakaD se pare hai
lekin laDki to laDki hai
usmen wahi aadim bholapan
pagalpan, maranpan bhara hai
jiski saza
kisi aane wale kal
wo us adami ko degi
ek ichha laDki ki chuDiyon mein chalti hai
pahle wo tuten uske bistar par
phir tuten uski chaukhat par
kyonki laDki ke bhitar ek shokamyi aurat hai
aur jo widhwa hai
hai nahin lekin
ho jayegi jo
laDki ka Dar uski dhamaniyon se kanpta
chuDiyon tak chalta hai
kanpti hai unmen laDki ki ichha
kanpta hai unmen laDki ka shok
adami kahan hai laDki ka?
adami jiska matam uski dhamaniyon mein hai
aur ichha jiski uski chuDiyon mein
adami uska phansa hai
kisi dusri deh mein
kisi dusre sapne mein,
dusre dukh, dusre ansu mein
uska har dukh, sapna, ansu
laDki ki matami pakaD se pare hai
lekin laDki to laDki hai
usmen wahi aadim bholapan
pagalpan, maranpan bhara hai
jiski saza
kisi aane wale kal
wo us adami ko degi
स्रोत :
पुस्तक : एक दिन लौटेगी लड़की (पृष्ठ 15)
रचनाकार : गगन गिल
प्रकाशन : राजकमल प्रकाशन
संस्करण : 1989
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.