एक आदमी आदेश देकर
छिप गया है
हज़ारों लोग भूखे-प्यासे
बेहाल
सड़क पर हैं
गाँव
सैंकड़ों मील दूर
किसी की जेब में
पाँच रुपए हैं
किसी ने कई दिनों से
सिर्फ़ कुछ बिस्किट खाए
और पानी पिया है
किसी की पत्नी के पाँव की
हड्डी टूटी हुई है
वह उसे कँधे पर बिठाकर
चल दिया है
नब्बे साल की बूढ़ी स्त्री
चार सौ मील दूर
घर के लिए
पैदल चल पड़ी है
कोई साइकिल से
सपरिवार जा रहा है
बच्चा हैंडल पर
सो गया है
कहीं दो-चार कौर
खिचड़ी के लिए
हज़ारों लोग क़तार में
सरकार के
रहमोकरम पर हैं
उन्हें मेहरबानी नहीं
घर चाहिए था
जहाँ वे नमक-रोटी
खा सकते थे
दूसरों को अपनी चिंता से
बचा सकते थे
मगर वे किसी ब्लेड पर
चल रहे हैं
लहूलुहान
महामारी ठिठक गई है
भूख का यह क़हर देखकर
एक आदमी आदेश देकर
छिप गया है
ek adami adesh dekar
chhip gaya hai
hazaron log bhukhe pyase
behal
saDak par hain
ganw
sainkDon meel door
kisi ki jeb mein
panch rupae hain
kisi ne kai dinon se
sirf kuch biskit khaye
aur pani piya hai
kisi ki patni ke panw ki
haDDi tuti hui hai
wo use kandhe par bithakar
chal diya hai
nabbe sal ki buDhi istri
chaar sau meel door
ghar ke liye
paidal chal paDi hai
koi cycle se
sapriwar ja raha hai
bachcha hainDal par
so gaya hai
kahin do chaar kaur
khichDi ke liye
hazaron log qatar mein
sarkar ke
rahmokaram par hain
unhen mehrbani nahin
ghar chahiye tha
jahan we namak roti
kha sakte the
dusron ko apni chinta se
bacha sakte the
magar we kisi blade par
chal rahe hain
lahuluhan
mahamari thithak gai hai
bhookh ka ye qahr dekhkar
ek adami adesh dekar
chhip gaya hai
ek adami adesh dekar
chhip gaya hai
hazaron log bhukhe pyase
behal
saDak par hain
ganw
sainkDon meel door
kisi ki jeb mein
panch rupae hain
kisi ne kai dinon se
sirf kuch biskit khaye
aur pani piya hai
kisi ki patni ke panw ki
haDDi tuti hui hai
wo use kandhe par bithakar
chal diya hai
nabbe sal ki buDhi istri
chaar sau meel door
ghar ke liye
paidal chal paDi hai
koi cycle se
sapriwar ja raha hai
bachcha hainDal par
so gaya hai
kahin do chaar kaur
khichDi ke liye
hazaron log qatar mein
sarkar ke
rahmokaram par hain
unhen mehrbani nahin
ghar chahiye tha
jahan we namak roti
kha sakte the
dusron ko apni chinta se
bacha sakte the
magar we kisi blade par
chal rahe hain
lahuluhan
mahamari thithak gai hai
bhookh ka ye qahr dekhkar
ek adami adesh dekar
chhip gaya hai
स्रोत :
रचनाकार : पंकज चतुर्वेदी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.