इन ढलानों और तीखे मोड़ों वाले रास्तों के पास
दिल भी दिमाग़ भी
जिस तरह मैं उन्हें देख रही हूँ और उनके बारे में सोच रही हूँ
वे भी मुझे देख रहे हैं और मेरे बारे में सोच रहे हैं
कुछ कौतूहल
कुछ अभिवादन
“किस तरह बने होंगे ये कहाँ जाते हैं?
जहाँ जाते हैं वहाँ घर हैं?
धूप होगी आँगन में गिरती?
आवाज़ें होंगी ज़िंदगी में डूबी?” मैंने सोचा
“इसकी आँखों में झाइयाँ है पाँव पड़ते हैं थमे-थमे-से
मानो चलने का अर्थ खो गया हो”
ये शहर भी अजीब है
जितना देते हैं उतना ले लेते हैं या फिर ज़्यादा
सोचा रास्तों ने
धीरे-धीरे खुलूँगी मैं, धीरे-धीरे खुलेंगे रास्ते।
in Dhalanon aur tikhe moDon wale raston ke pas
dil bhi dimagh bhi
jis tarah main unhen dekh rahi hoon aur unke bare mein soch rahi hoon
we bhi mujhe dekh rahe hain aur mere bare mein soch rahe hain
kuch kautuhal
kuch abhiwadan
“kis tarah bane honge ye kahan jate hain?
jahan jate hain wahan ghar hain?
dhoop hogi angan mein girti?
awazen hongi zindagi mein Dubi?” mainne socha
“iski ankhon mein jhaiyan hai panw paDte hain thame thame se
mano chalne ka arth kho gaya ho”
ye shahr bhi ajib hai
jitna dete hain utna le lete hain ya phir zyada
socha raston ne
dhire dhire khulungi main, dhire dhire khulenge raste

स्रोत :
पुस्तक : दिसंबर का महीना मुझे आख़िरी नहीं लगता (पृष्ठ 87)
रचनाकार : निर्मला गर्ग
प्रकाशन : बोधि प्रकाशन
संस्करण : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.