ऐ अज्ञात,
तुम्हें कैसे
समझूँ?
पूरा समझूँ
तो छूट जाती हैं
तुम्हारी शिराओं की तड़पन
तुम्हारी धड़कनें
तुम्हारी उँगलियों को अलग अलग परखूँ
तो समझ नहीं आती तुम्हारी दृष्टि
तुम्हें समझते हुए मैं धरती को चूमता,
हवा में उड़ता, आग पीता,
जल में बहता बनाता हूँ नाख़ून दर नाख़ून तुम्हें
तुम्हारी पलकों को
होंठों से छूकर समझता हूँ
जल और अग्नि के रहस्य
तर्क और युक्ति में
बह जाते हैं
तर्क और युक्ति
भूतवादी मैं तुममें
प्रवेश करता हूँ
अपनी लंबी दाढ़ी समेत
पीढ़ियों तक
बच्चे पढ़ते हैं
मेरी यंत्रणा
इस वक़्त मैं कहाँ हूँ?
तुम्हारे किस अंग में है मेरा कौन-सा अंग?
किस कण में मेरा कौन-सा कण?
ai agyat,
tumhein kaise
samjhun?
pura samjhun
to chhoot jati hain
tumhari shiraon ki taDpan
tumhari dhaDaknen
tumhari ungliyon ko alag alag parkhun
to samajh nahin aati tumhari drishti
tumhein samajhte hue main dharti ko chumta,
hawa mein uDta, aag pita,
jal mein bahta banata hoon nakhun dar nakhun tumhein
tumhari palkon ko
honthon se chhukar samajhta hoon
jal aur agni ke rahasy
tark aur yukti mein
bah jate hain
tark aur yukti
bhutawadi main tummen
prawesh karta hoon
apni lambi daDhi samet
piDhiyon tak
bachche paDhte hain
meri yantrna
is waqt main kahan hoon?
tumhare kis ang mein hai mera kaun sa ang?
kis kan mein mera kaun sa kan?
ai agyat,
tumhein kaise
samjhun?
pura samjhun
to chhoot jati hain
tumhari shiraon ki taDpan
tumhari dhaDaknen
tumhari ungliyon ko alag alag parkhun
to samajh nahin aati tumhari drishti
tumhein samajhte hue main dharti ko chumta,
hawa mein uDta, aag pita,
jal mein bahta banata hoon nakhun dar nakhun tumhein
tumhari palkon ko
honthon se chhukar samajhta hoon
jal aur agni ke rahasy
tark aur yukti mein
bah jate hain
tark aur yukti
bhutawadi main tummen
prawesh karta hoon
apni lambi daDhi samet
piDhiyon tak
bachche paDhte hain
meri yantrna
is waqt main kahan hoon?
tumhare kis ang mein hai mera kaun sa ang?
kis kan mein mera kaun sa kan?
स्रोत :
रचनाकार : लाल्टू
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.