अत्याचारी से ज़्यादा
उससे सतर्क रहो
जो तुम्हारी दुनिया में अत्याचारी की
पैरवी लेकर आता है
जो यक़ीन दिलाता है कि
कोई चारा नहीं है अत्याचारी के सिवा
वही हमारे लोकतांत्रिक श्रम की सबसे उचित उपलब्धि है!
नहीं है करोड़ों आदमियों में एक
कम मूर्ख
कम कुटिल
कम निष्ठुर
कम ख़ूँख़ार
कम अत्याचारी आदमी
कोई नहीं बचा है
जिसके पास हो कम चौड़ा सीना
पर ज़्यादा मुलायम दिल
वह जो
तुम्हारी सोच और भरोसे में
ज़्यादा अंदर तक धँसा है
उसे इस वक़्त
ग़ौर से देखो
देखो कि वह
क्या कर रहा है
तुम पाओगे
घने कुहरे की ओट लेकर
वह तुम्हारे भय और चीख़ की भाषा में धकेल रहा है—
अत्याचारी के पक्ष में बारीकी से गढ़ा
एक मीठा गीत
वह उतरा हुआ है गहरे
तुम्हारे इरादों के तल में
और उसे ला रहा है अत्याचारी के और ज़्यादा क़रीब
अत्याचारी से ज़्यादा सतर्क रहो उससे!
सतर्क रहो उससे
कि वह तुम्हारी रोटियों पर छाप देना चाहता है
अत्याचारी का चेहरा
तुम्हारे ख़ून से निकाल कर लोहा
मिला देना चाहता है दुनिया की सबसे ऊँची मूर्ति के घुटनों में
और मामूली नाख़ूनों को राष्ट्रीय सुरक्षा का सवाल बनाकर
इस्तेमाल कर सकता है तुम्हारी हीं कराहों के ख़िलाफ़
मस्तिष्क के जंगल में
घूमते उस बहेलिए पर
तुम करते चले आए हो आँख मूँदकर भरोसा
सतर्क रहो उससे
बेहद सतर्क
कि नज़दीक भविष्य के झुरमुट में छुपी
तुम्हारी असंदिग्ध हत्या पर
वह लगा चुका है सट्टा।
atyachari se zyada
usse satark raho
jo tumhari duniya mein atyachari ki
pairawi lekar aata hai
jo yaqin dilata hai ki
koi chara nahin hai atyachari ke siwa
wahi hamare loktantrik shram ki sabse uchit uplabdhi hai!
nahin hai karoDon adamiyon mein ek
kam moorkh
kam kutil
kam nishthur
kam khunkhar
kam atyachari adami
koi nahin bacha hai
jiske pas ho kam chauDa sina
par zyada mulayam dil
wo jo
tumhari soch aur bharose mein
zyada andar tak dhansa hai
use is waqt
ghaur se dekho
dekho ki wo
kya kar raha hai
tum paoge
ghane kuhre ki ot lekar
wo tumhare bhay aur cheekh ki bhasha mein dhakel raha hai—
atyachari ke paksh mein bariki se gaDha
ek mitha geet
wo utra hua hai gahre
tumhare iradon ke tal mein
aur use la raha hai atyachari ke aur zyada qarib
atyachari se zyada satark raho usse!
satark raho usse
ki wo tumhari rotiyon par chhap dena chahta hai
atyachari ka chehra
tumhare khoon se nikal kar loha
mila dena chahta hai duniya ki sabse unchi murti ke ghutnon mein
aur mamuli nakhunon ko rashtriya suraksha ka sawal banakar
istemal kar sakta hai tumhari heen karahon ke khilaf
mastishk ke jangal mein
ghumte us baheliye par
tum karte chale aaye ho ankh mundakar bharosa
satark raho usse
behad satark
ki nazdik bhawishya ke jhurmut mein chhupi
tumhari asandigdh hattya par
wo laga chuka hai satta
atyachari se zyada
usse satark raho
jo tumhari duniya mein atyachari ki
pairawi lekar aata hai
jo yaqin dilata hai ki
koi chara nahin hai atyachari ke siwa
wahi hamare loktantrik shram ki sabse uchit uplabdhi hai!
nahin hai karoDon adamiyon mein ek
kam moorkh
kam kutil
kam nishthur
kam khunkhar
kam atyachari adami
koi nahin bacha hai
jiske pas ho kam chauDa sina
par zyada mulayam dil
wo jo
tumhari soch aur bharose mein
zyada andar tak dhansa hai
use is waqt
ghaur se dekho
dekho ki wo
kya kar raha hai
tum paoge
ghane kuhre ki ot lekar
wo tumhare bhay aur cheekh ki bhasha mein dhakel raha hai—
atyachari ke paksh mein bariki se gaDha
ek mitha geet
wo utra hua hai gahre
tumhare iradon ke tal mein
aur use la raha hai atyachari ke aur zyada qarib
atyachari se zyada satark raho usse!
satark raho usse
ki wo tumhari rotiyon par chhap dena chahta hai
atyachari ka chehra
tumhare khoon se nikal kar loha
mila dena chahta hai duniya ki sabse unchi murti ke ghutnon mein
aur mamuli nakhunon ko rashtriya suraksha ka sawal banakar
istemal kar sakta hai tumhari heen karahon ke khilaf
mastishk ke jangal mein
ghumte us baheliye par
tum karte chale aaye ho ankh mundakar bharosa
satark raho usse
behad satark
ki nazdik bhawishya ke jhurmut mein chhupi
tumhari asandigdh hattya par
wo laga chuka hai satta
स्रोत :
रचनाकार : सौरभ कुमार
प्रकाशन : सदानीरा वेब पत्रिका
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.