उदास मीनारों पर ढलती हुई शाम
कहवा घरों और चाय घरों में जाती हुई भीड़
पार्कों में चहलक़दमी करते कुछ स्वस्थ जोड़े
नियोन लाइट के अक्षरों में चमकते बोर्ड
—सिनेमाघरों के इश्तहार!
कुछ नहीं है तमाम घूमते हुए लोगों में
केवल धुंध भरी आँखें और ज़र्दी भरे चेहरे
मोटरों की गर्द में बच-बचकर निकलती औरतें
और, किसी प्रेमी की तलाश में घूमती लड़कियाँ
—कुछ जवान सोसायटी गर्ल्स!
रोज़ के एकरस जीवन से ऊबा महानगर
वही बसें, वही ट्रामें, स्कूटर और रिक्शे
कितना याद आता है छोटा-सा गाँव
महानगर में अकेलापन गहरी ऊब दे जाता है
—मृत्यु जैसी ख़ामोशी!
यहाँ कोई किसी का दोस्त नहीं, परिचित नहीं
यहाँ तो सभी चेहरे बिखरे हैं स्वार्थों में
लोग उड़ाते हैं एक दूसरे का मज़ाक़
बौद्धिकता की सीमाएँ ज़्यादा बोलने में हैं।
—हर आदमी शैतान नज़र आता है!
udas minaron par Dhalti hui sham
kahwa gharon aur chay gharon mein jati hui bheeD
parkon mein chahalaqadmi karte kuch swasth joDe
niyon lait ke akshron mein chamakte board
—sinemaghron ke ishtahar!
kuch nahin hai tamam ghumte hue logon mein
kewal dhundh bhari ankhen aur zardi bhare chehre
motron ki gard mein bach bachkar nikalti aurten
aur, kisi premi ki talash mein ghumti laDkiyan
—kuchh jawan sosayti girls!
roz ke ekras jiwan se uba mahangar
wahi basen, wahi tramen, skutar aur rikshe
kitna yaad aata hai chhota sa ganw
mahangar mein akelapan gahri ub de jata hai
—mirtyu jaisi khamoshi!
yahan koi kisi ka dost nahin, parichit nahin
yahan to sabhi chehre bikhre hain swarthon mein
log uDate hain ek dusre ka mazaq
bauddhikta ki simayen zyada bolne mein hain
—har adami shaitan nazar aata hai!

स्रोत :
पुस्तक : विजप (पृष्ठ 76)
रचनाकार : जगदीश चतुर्वेदी
प्रकाशन : राधाकृष्ण प्रकाशन
संस्करण : 1967
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.