जूझने का मेरा इरादा न था,
मोड़ पर मिलेंगे इसका वादा न था
रास्ता रोक कर वह खड़ी हो गई,
यों लगा ज़िंदगी से बड़ी हो गई
मौत की उमर क्या है? दो पल भी नहीं,
ज़िंदगी-सिलसिला, आज-कल की नहीं
मैं जी भर जिया, मैं मन से मरूँ,
लौटकर आऊँगा, कूच से क्यों डरूँ?
तू दबे पाँव, चोरी-छिपे से न आ,
सामने वार कर फिर मुझे आज़मा
मौत से बेख़बर, ज़िंदगी का सफ़र,
शाम हर सुरमई, रात बंसी का स्वर
बात ऐसी नहीं कि कोई ग़म ही नहीं,
दर्द अपने-पराए कुछ कम भी नहीं
प्यार इतना परायों से मुझको मिला,
न अपनों से बाक़ी है कोई गिला
हर चुनौती से दो हाथ मैंने किए,
आँधियों में जलाए हैं बुझते दिए
आज झकझोरता तेज़ तूफ़ान है,
नाव भँवरों की बाँहों में मेहमान है
पार पाने का क़ायम मगर हौसला,
देख तेवर तूफ़ाँ का, तेवरी तन गई,
मौत से ठन गई।
than gai!
maut se than gai!
jujhne ka mera irada na tha,
moD par milenge iska wada na tha
rasta rok kar wo khaDi ho gai,
yon laga zindagi se baDi ho gai
maut ki umar kya hai? do pal bhi nahin,
zindagi silsila, aaj kal ki nahin
main ji bhar jiya, main man se marun,
lautkar aunga, kooch se kyon Darun?
tu dabe panw, chori chhipe se na aa,
samne war kar phir mujhe aazma
maut se beख़bar, zindagi ka safar,
sham har surami, raat bansi ka swar
baat aisi nahin ki koi gham hi nahin,
dard apne paraye kuch kam bhi nahin
pyar itna parayon se mujhko mila,
na apnon se baqi hai koi gila
har chunauti se do hath mainne kiye,
andhiyon mein jalaye hain bujhte diye
aj jhakjhorta tez tufan hai,
naw bhanwaron ki banhon mein mehman hai
par pane ka qayam magar hausla,
dekh tewar tufan ka, tewari tan gai,
maut se than gai
than gai!
maut se than gai!
jujhne ka mera irada na tha,
moD par milenge iska wada na tha
rasta rok kar wo khaDi ho gai,
yon laga zindagi se baDi ho gai
maut ki umar kya hai? do pal bhi nahin,
zindagi silsila, aaj kal ki nahin
main ji bhar jiya, main man se marun,
lautkar aunga, kooch se kyon Darun?
tu dabe panw, chori chhipe se na aa,
samne war kar phir mujhe aazma
maut se beख़bar, zindagi ka safar,
sham har surami, raat bansi ka swar
baat aisi nahin ki koi gham hi nahin,
dard apne paraye kuch kam bhi nahin
pyar itna parayon se mujhko mila,
na apnon se baqi hai koi gila
har chunauti se do hath mainne kiye,
andhiyon mein jalaye hain bujhte diye
aj jhakjhorta tez tufan hai,
naw bhanwaron ki banhon mein mehman hai
par pane ka qayam magar hausla,
dekh tewar tufan ka, tewari tan gai,
maut se than gai
स्रोत :
पुस्तक : मेरी इक्यावन कविताएँ (पृष्ठ 34)
संपादक : चंद्रिकाप्रसाद शर्मा
रचनाकार : अटल बिहारी वाजपेयी
प्रकाशन : किताबघर प्रकान
संस्करण : 2017
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.