विश्व में बहुत-से आदमी हैं जिनसे अपरिचित रहेंगे;
भौगोलिक मानचित्र की भाँति जिनका जीवन मौन है,
और हम मात्र अनुमान लगाते हैं कि वे क्या-क्या दे सकते थे
अपनी उपस्थिति से जिस तक हम न पहुँचेंगे।
विश्व में बहुत-सी उत्कृष्ट स्त्रियाँ हैं,
हज़ारों नगरों में, हर नगर में शायद एक,
जो हमें प्रेम कर सकती, हमारी आकांक्षाओं की छाया,
पर बिना हमें जाने मर जाएँगे जिसके अधर प्यासे।
विश्व में बहुत-से नगर हैं, विविध ज्यों मानव-आकृतियाँ,
कहीं रहता है मनुष्य जो बढ़कर है भाई से या मित्र से
हमारे ही नगर के, जहाँ संकीर्ण विधि ने
कर दिया जीवन विषादमय अतृप्त इच्छाओं से।
विश्व में बहुत-से निकटजन हैं जिनसे अपरिचित रहेंगे,
और जगहें भी हैं जहाँ हमारा थका मन विश्राम कर लेता,
पर सन्निकट जीव से रह जाएँगे अपरिचित दुर्भाग्य से,
विश्व में हैं बहुत-से आदमी, नगर और स्त्रियाँ।
vishv mein bahut se adami hain jinse aprichit rahenge ;
bhaugolik manachitr ki bhanti jinka jivan maun hai,
aur hum maatr anuman lagate hain ki ve kya kya de sakte the
apni upasthiti se jis tak hum na pahunchenge.
vishv mein bahut si utkrisht striyan hain,
hazaron nagron mein, har nagar mein shayad ek,
jo hamein prem kar sakti, hamari akankshaon ki chhaya,
par bina hamein jane mar jayenge jiske adhar pyase.
vishv mein bahut se nagar hain, vividh jyon manav akritiyan,
kahin rahta hai manushya jo baDhkar hai bhai se ya mitr se
hamare hi nagar ke, jahan sankirn vidhi ne
kar diya jivan vishadamay atript ichchhaon se.
vishv mein bahut se nikatjan hain jinse aprichit rahenge,
aur jaghen bhi hain jahan hamara thaka man vishram kar leta,
par sannikat jeev se rah jayenge aprichit durbhagya se,
vishv mein hain bahut se adami, nagar aur striyan.

स्रोत :
पुस्तक : समकालीन यूगोस्लाव कविता-1 (पृष्ठ 68)
संपादक : श्यौराजसिंह जैन
रचनाकार : फ्रानो अल्फ़ोरेविच
प्रकाशन : हृवाती लेखक संघ, ज़ाग्रेब
संस्करण : 1978
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.