ज़िंदगी की राह में मुझे पाकर
तुम्हें लगा था
कि तुम मंज़िल पा गई हो!
वह तुम्हारा भ्रम था
मेरे मना करने पर भी
तुमने उसे पाला
और दुनिया की नज़रों में
अपना बना डाला!
लेकिन आज मैं तुम्हारे लिए
मील का एक पत्थर हूँ
पत्थर जो सबूत है
कि तुमने ज़िंदगी की अमुक दूरी
तय कर ली है!
लेकिन मंज़िल से
मील का पत्थर बनने का दर्द
तुम नहीं समझ पाओगी!
राह में अगला पत्थर मिलने पर
तुम मुझे भूल भी जाओ
तो मुझे ताज्जुब नहीं होगा!
मंज़िल बनने का संयोग
वैसे भी कब किसे मिलता है?
अच्छा तो यह था
कि तुम मुझे पत्थर ही रहने देती
न देती मंज़िल का नाम!
क्योंकि
ज़िंदगी वैसे भी है
महज मौत का विराम!
हक़ीक़त तो यह है
कि आदमी आदमी होता है
मंज़िल नहीं
और ज़िंदगी एक अनबुझी प्यास होती है
जो न कभी बुझी है
और न बुझ सकती है!
कभी-कभी
जो बुझी-बुझी लगती ज़रूर है
पर हक़ीक़त में
न बुझने को मज़बूर है!
zindagi ki raah mein mujhe pa kar
tumhein laga tha
ki tum manzil pa gai ho!
wo tumhara bhram tha
mere mana karne par bhi
tumne use pala
aur duniya ki nazron men
apna bana Dala!
lekin aaj main tumhare liye
meel ka ek patthar hoon
patthar jo sabut hai
ki tumne zindagi ki amuk duri tay karli hai!
lekin manzil se
meel ka patthar banne ka dard
tum nahin samajh paogi!
raah mein agla patthar milne par
tum mujhe bhool bhi jao
to mujhe tajjub nahin hoga!
manzil banne ka sanyog
vaise bhi kab kise milta hai?
achchha to ye tha
ki tum mujhe patthar hi rahne deti
na deti manzil ka naam!
kyonki
zindagi vaise bhi hai
mahaj maut ka viram!
haqiqat to ye hai
ki adami adami hota hai
manzil nahin
aur zindagi ek anabujhi pyaas hoti hai
jo na kabhi bujhi hai
aur na bujh sakti hai!
kabhi kabhi
jo bujhi bujhi lagti zarur hai
par haqiqat men
na bujhne ko mazbur hai!
zindagi ki raah mein mujhe pa kar
tumhein laga tha
ki tum manzil pa gai ho!
wo tumhara bhram tha
mere mana karne par bhi
tumne use pala
aur duniya ki nazron men
apna bana Dala!
lekin aaj main tumhare liye
meel ka ek patthar hoon
patthar jo sabut hai
ki tumne zindagi ki amuk duri tay karli hai!
lekin manzil se
meel ka patthar banne ka dard
tum nahin samajh paogi!
raah mein agla patthar milne par
tum mujhe bhool bhi jao
to mujhe tajjub nahin hoga!
manzil banne ka sanyog
vaise bhi kab kise milta hai?
achchha to ye tha
ki tum mujhe patthar hi rahne deti
na deti manzil ka naam!
kyonki
zindagi vaise bhi hai
mahaj maut ka viram!
haqiqat to ye hai
ki adami adami hota hai
manzil nahin
aur zindagi ek anabujhi pyaas hoti hai
jo na kabhi bujhi hai
aur na bujh sakti hai!
kabhi kabhi
jo bujhi bujhi lagti zarur hai
par haqiqat men
na bujhne ko mazbur hai!
स्रोत :
पुस्तक : आँसू का अनुवाद (पृष्ठ 49)
रचनाकार : मदनलाल डागा
प्रकाशन : संगम प्रकाशन
संस्करण : 1973
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.