बोलना
संसार से जोड़ता है
बाहर की तरफ़ रास्ता खोलता है
चुप्पी भीतर की ओर
ले के जाती है
स्वयं तक
पर चुप्पी में
बहुत गहरे उतर जाने पर
स्वयं से दूर भी चला जाता है आदमी
चुप्पी
विरोध और उदासीनता
दोनों को संकेत करती है
विरोध बदलाव की तरफ़ ले के जाता है
उदासीनता मृत्यु की ओर
कभी दुनियाँ को समझकर
कभी दुनियाँ से हारकर
चुप होता है आदमी
चुपके पानी में
सबसे स्थिर और गहरी
उतरती है छवि
मन की
संसार की
चुप्पी के दायरे से उठकर
जाता है जब कोई संसार की ओर
स्वयं को और संसार को
बदली हुई दृष्टि से
देख पाता है फिर वह।
bolna
sansar se joDta hai
bahar ki taraf rasta kholta hai
chuppi bhitar ki or
le ke jati hai
svayan tak
par chuppi men
bahut gahre utar jane par
svayan se door bhi chala jata hai adami
chuppi
virodh aur udasinata
donon ko sanket karti hai
virodh badlav ki taraf le ke jata hai
udasinata mrityu ki or
kabhi duniyan ko samajh kar
kabhi duniyan se harkar
chup hota hai adami
chup ke pani mein
sabse sthir aur gahri
utarti hai chhavi
man ki
sansar ki
chuppi ke dayre se uthkar
jata hai jab koi sansar ki or
svayan ko aur sansar ko
badli hui drishti se
dekh pata hai phir wo.
bolna
sansar se joDta hai
bahar ki taraf rasta kholta hai
chuppi bhitar ki or
le ke jati hai
svayan tak
par chuppi men
bahut gahre utar jane par
svayan se door bhi chala jata hai adami
chuppi
virodh aur udasinata
donon ko sanket karti hai
virodh badlav ki taraf le ke jata hai
udasinata mrityu ki or
kabhi duniyan ko samajh kar
kabhi duniyan se harkar
chup hota hai adami
chup ke pani mein
sabse sthir aur gahri
utarti hai chhavi
man ki
sansar ki
chuppi ke dayre se uthkar
jata hai jab koi sansar ki or
svayan ko aur sansar ko
badli hui drishti se
dekh pata hai phir wo.
स्रोत :
रचनाकार : राजीव कुमार तिवारी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.