हम किसी आख़िरत के लिए तैयार नहीं हैं
हर अंत चौंकाता है
सारी तैयारियों के बावजूद
फूलों पर उतरती तितली की तरह
या गहरे कुएँ से लौटती बाल्टी की तरह
नहीं खुलता अंतिम सत्य
पूरा एक जीवन लगता है
पचाने के लिए
यह बात
कि हमसे पहले बहुत कुछ था
रहेगा हमारे बाद भी
समय की इस मियाद में
गीली रेत पर
घिस कर खींचा गया नाम है
यह जीवन
अगर कुछ न समझ आया
इस दफ़ा भी
तो लौट जाऊँगा
किसी स्त्री की नाभि से वापिस
जीवन से दूर
मृत्यु से परे
मुझे और सिर चाहिए
और रीढ़ तो कितनी
इस दुनिया को गहराई से गले लगाने
या तंग आकर छोड़ देने के लिए
बहुत ख़ुशी में माँगने से मिलता नहीं पुनर्जन्म
न बहुत दुख में फेंकी जा सकती है यह उम्र
जीवन और संसार केवल ईश्वर का जुआ नहीं है
hum
kisi akhirat ke liye taiyar nahin hain
har ant chaunkata hai
sari taiyariyon ke bavjud
phulon par utarti titli ki tarah
ya
gahre kuen se lautti balti ki tarah
nahin khulta antim satya
pura ek jivan lagta hai
pachane ke liye
ye baat
ki hamse pahle bahut kuch tha
rahega hamare baad bhi
samay ki is miyad men
gili ret par
ghis kar khincha gaya naam hai
ye jivan
agar kuch na samajh aaya
is dafa bhi
to
laut jaunga
kisi stri ki nabhi se vapis
jivan se door
mrityu se pare
mujhe aur sir chahiye
aur reeDh to kitni
is duniya ko gahrai se gale lagane
ya tang aakar chhoD dene ke liye
bahut khushi mein mangne se milta nahin punarjanm
na bahut dukh mein phenki ja sakti hai ye umr
jivan aur sansar keval iishvar ka jua nahin hai
hum
kisi akhirat ke liye taiyar nahin hain
har ant chaunkata hai
sari taiyariyon ke bavjud
phulon par utarti titli ki tarah
ya
gahre kuen se lautti balti ki tarah
nahin khulta antim satya
pura ek jivan lagta hai
pachane ke liye
ye baat
ki hamse pahle bahut kuch tha
rahega hamare baad bhi
samay ki is miyad men
gili ret par
ghis kar khincha gaya naam hai
ye jivan
agar kuch na samajh aaya
is dafa bhi
to
laut jaunga
kisi stri ki nabhi se vapis
jivan se door
mrityu se pare
mujhe aur sir chahiye
aur reeDh to kitni
is duniya ko gahrai se gale lagane
ya tang aakar chhoD dene ke liye
bahut khushi mein mangne se milta nahin punarjanm
na bahut dukh mein phenki ja sakti hai ye umr
jivan aur sansar keval iishvar ka jua nahin hai
स्रोत :
रचनाकार : निशांत कौशिक
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.