हम अकेले नहीं हैं
हमारी यात्राओं के बीच यह चट्टान उपस्थित है
इसके किनारे घिस चुके हैं
त्वचा सख़्त है मगर रूखी नहीं
रंध्रों में इसकी थकान समाई है
जमा हैं कितने ही क़िस्से इस संदूक़ची में
खोलती हैं इन सबको यह रात में
जब चारों ओर सुनसान होता है
तारे आसमान से झाँकते हैं
टोह लेती है ठिठक कर हवा
यहाँ न कोई खिड़की है
न दरवाज़ा
फिर भी घर की संभावना मौजूद है
कान लगाकर सुनें
तो पानी के बहने की आवाज़ आएगी
वहीं किनारे पेड़ भी होंगे कुछ हरे कुछ पत्रविहीन
यह चट्टान है जो कभी जीवाश्म नहीं बनती।
hum akele nahin hain
hamari yatraon ke beech ye chattan upasthit hai
iske kinare ghis chuke hain
twacha sakht hai magar rukhi nahin
randhron mein iski thakan samai hai
jama hain kitne hi qisse is sanduqchi mein
kholti hain in sabko ye raat mein
jab charon or sunsan hota hai
tare asman se jhankte hain
toh leti hai thithak kar hawa
yahan na koi khiDki hai
na darwaza
phir bhi ghar ki sambhawna maujud hai
kan lagakar sunen
to pani ke bahne ki awaz ayegi
wahin kinare peD bhi honge kuch hare kuch patrawihin
ye chattan hai jo kabhi jiwashm nahin banti
hum akele nahin hain
hamari yatraon ke beech ye chattan upasthit hai
iske kinare ghis chuke hain
twacha sakht hai magar rukhi nahin
randhron mein iski thakan samai hai
jama hain kitne hi qisse is sanduqchi mein
kholti hain in sabko ye raat mein
jab charon or sunsan hota hai
tare asman se jhankte hain
toh leti hai thithak kar hawa
yahan na koi khiDki hai
na darwaza
phir bhi ghar ki sambhawna maujud hai
kan lagakar sunen
to pani ke bahne ki awaz ayegi
wahin kinare peD bhi honge kuch hare kuch patrawihin
ye chattan hai jo kabhi jiwashm nahin banti
स्रोत :
पुस्तक : सफ़र के लिए रसद (पृष्ठ 9)
रचनाकार : निर्मला गर्ग
प्रकाशन : मेधा बुक्स
संस्करण : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.