बुजुर्ग धीरे-धीरे
हासिए पर चले जाते हैं
छूट जाते हैं
अपने होने के एकाँत में
साथ लेकर उनको चलते हुए
समय की गति पकड़नी
जब कठिन होने लगती है
उन्हें छोड़कर
आगे बढ़ने की संभावना और युक्ति
ढूँढ़ने लगते हैं उनके अपने तक
जब खलने लगती है उन्हें
अपनी उपेक्षा हद से ज़्यादा
जब देखते हैं वे
अपने बोझ से
अपनी संततियों का कँधा झुकता हुआ
ख़ुद भी उठकर
चले जाते हैं बहुत बार
चहल पहल और गहमा-गहमी की परिधि से बाहर कहीं
बुज़ुर्गों की ज़रूरतों
उनकी परेशानियों
की आवाज़
बैठने लगती है धीरे-धीरे
उन्हें सुनने वाली श्रवणेंद्रियाँ
बधीर होने लगती हैं जब
बुढ़ापे में उभरे रोग को
यह कह कर हल्का कर दिया जाता है
कि बुढ़ापा ही
अपने आप में एक रोग है
बुढ़ापे के शौक पर
हँसा जाता है
उसकी चुटकी ली जाती है
नए पुराने में
समन्वय और सामंजस्य
हमेशा कठिन रहा है
कच्ची और पकी मिट्टी
मिल नहीं पाते आपस में ठीक से
चीज़ें पहले से
कुछ ज़्यादा मुश्किल हुई लगती हैं
इन दिनों।
bujurg dhire dhire
hasiye par chale jate hain
chhoot jate hain
apne hone ke ekaant men
saath lekar unko chalte hue
samay ki gati pakaDni
jab kathin hone lagti hai
unhen chhoDkar
aage baDhne ki sambhavna aur yukti
DhunDhane lagte hain unke apne tak
jab khalne lagti hai unhen
apni upeksha had se zyada
jab dekhte hain ve
apne bojh se
apni santatiyon ka kandha jhukta hua
khud bhi uthkar
chale jate hain bahut baar
chahl pahal aur gahma gahmi ki paridhi se bahar kahin
buzurgon ki zarurton
unki pareshaniyon
ki avaz
baithne lagti hai dhire dhire
unhen sunne vali shravnendriyan
badhir hone lagti hain jab
buDhape mein ubhre rog ko
ye kah kar halka kar diya jata hai
ki buDhapa hi
apne aap mein ek rog hai
buDhape ke shauk par
hansa jata hai
uski chutki li jati hai
ne purane mein
samanvay aur samanjasya
hamesha kathin raha hai
kachchi aur paki mitti
mil nahin pate aapas mein theek se
chizen pahle se
kuch zyada mushkil hui lagti hain
in dinon.
bujurg dhire dhire
hasiye par chale jate hain
chhoot jate hain
apne hone ke ekaant men
saath lekar unko chalte hue
samay ki gati pakaDni
jab kathin hone lagti hai
unhen chhoDkar
aage baDhne ki sambhavna aur yukti
DhunDhane lagte hain unke apne tak
jab khalne lagti hai unhen
apni upeksha had se zyada
jab dekhte hain ve
apne bojh se
apni santatiyon ka kandha jhukta hua
khud bhi uthkar
chale jate hain bahut baar
chahl pahal aur gahma gahmi ki paridhi se bahar kahin
buzurgon ki zarurton
unki pareshaniyon
ki avaz
baithne lagti hai dhire dhire
unhen sunne vali shravnendriyan
badhir hone lagti hain jab
buDhape mein ubhre rog ko
ye kah kar halka kar diya jata hai
ki buDhapa hi
apne aap mein ek rog hai
buDhape ke shauk par
hansa jata hai
uski chutki li jati hai
ne purane mein
samanvay aur samanjasya
hamesha kathin raha hai
kachchi aur paki mitti
mil nahin pate aapas mein theek se
chizen pahle se
kuch zyada mushkil hui lagti hain
in dinon.
स्रोत :
रचनाकार : राजीव कुमार तिवारी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.