क्यों बदल जाता है सब पल भर में
अचानक, अप्रत्याशित, अनायास!
किसने घुमा दी ये
जादू की छड़ी
हो गए ग़ायब तमाशाई
बिछ रहे थे जो ज़मीन पर
क़ालीन-से
और झाड़ रहे थे
उनके जूतों की धूल
पलकों से अपनी।
पढ़कर
आज सुबह का अख़बार
उनकी चमचमाती कलगियों वाले
शुतुरमुर्ग़ी सिर
घुस गए हैं रेत में
कि कहीं कोई पहचान न ले
हालाँकि हक़ीक़त
जानते हैं सभी।
कुछ समय बाद धीरे से उठेंगी गर्दनें
नाक सूघेंगी हवा का रुख़
और फड़फड़ाते हुए पंख
करेंगे फिर
उड़ने की कोशिश
शामिल हो जाएँगे वे
सबसे बड़े झुंड में
करने नए चरागाह की तलाश।
kyon badal jata hai sab pal bhar mein
achanak, apratyashit, anayas!
kisne ghuma di ye
jadu ki chhaDi
ho gaye ghayab tamashai
bichh rahe the jo zamin par
qalin se
aur jhaD rahe the
unke juton ki dhool
palkon se apni
paDhkar
aj subah ka akhbar
unki chamchamati kalagiyon wale
shuturmurghi sir
ghus gaye hain ret mein
ki kahin koi pahchan na le
halanki haqiqat
jante hain sabhi
kuch samay baad dhire se uthengi gardnen
nak sughengi hawa ka rukh
aur phaDphaDate hue pankh
karenge phir
uDne ki koshish
shamil ho jayenge we
sabse baDe jhunD mein
karne nae charagah ki talash
kyon badal jata hai sab pal bhar mein
achanak, apratyashit, anayas!
kisne ghuma di ye
jadu ki chhaDi
ho gaye ghayab tamashai
bichh rahe the jo zamin par
qalin se
aur jhaD rahe the
unke juton ki dhool
palkon se apni
paDhkar
aj subah ka akhbar
unki chamchamati kalagiyon wale
shuturmurghi sir
ghus gaye hain ret mein
ki kahin koi pahchan na le
halanki haqiqat
jante hain sabhi
kuch samay baad dhire se uthengi gardnen
nak sughengi hawa ka rukh
aur phaDphaDate hue pankh
karenge phir
uDne ki koshish
shamil ho jayenge we
sabse baDe jhunD mein
karne nae charagah ki talash
स्रोत :
रचनाकार : अजीत रायज़ादा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.