और कुछ कर पाऊँ या नहीं
मृत्यु के आकर्षण से बचा लूँ
जीवन के ज़रूरी अध्यवसाय
बचा लूँ पतित सुखों के व्यामोह से
अपनी निरपराध दुनिया की करुण साझेदारी
उपलब्धि के हाशिए से धकेले गए हम
अपने समूचे देश की परिक्रमा करते हैं
ढूँढ़ते हुए वे जगहें
जहाँ हम खपा सकें अपनी क्षमताओं को
बचा लें एक भटकी हुई पीढ़ी के जर्जर आत्मबल से
एक उगती हुई फ़सल की देह का रोमांच
अपने सिरजे सबके वैभव में
शरीक होने की ख़ुशी
चाहे काँटों के उस धूप-छाए जंगल से गुज़रना पड़े
दाँतों में किसकन हो धूल-भरी धरती की
आँखों में बुख़ार की जलन हो
नसों में टूटन हो रक्त की कमी से
भाषा में अपने वजूद को
हासिल न कर पाने की मक्कारी से बचा लें
अपने समुद्र के उत्कर्षकामी जल को
पीड़ित मनुष्यों की इस सृष्टि में
और कुछ कर पाऊँ या नहीं
आदर्शोन्मुख होने के अहंकार से बचा लूँ
अपने होने की ज़िम्मेदारी के एहसास
aur kuch kar paun ya nahin
mirtyu ke akarshan se bacha loon
jiwan ke zaruri adhyawsay
bacha loon patit sukhon ke wyamoh se
apni nirapradh duniya ki karun sajhedari
uplabdhi ke hashiye se dhakele gaye hum
apne samuche desh ki parikrama karte hain
DhunDhate hue we jaghen
jahan hum khapa saken apni kshamtaon ko
bacha len ek bhatki hui piDhi ke jarjar atmabal se
ek ugti hui fasal ki deh ka romanch
apne sirje sabke waibhaw mein
sharik hone ki khushi
chahe kanton ke us dhoop chhaye jangal se guzarna paDe
danton mein kiskan ho dhool bhari dharti ki
ankhon mein bukhar ki jalan ho
nason mein tutan ho rakt ki kami se
bhasha mein apne wajud ko
hasil na kar pane ki makkari se bacha len
apne samudr ke utkarshkami jal ko
piDit manushyon ki is sirishti mein
aur kuch kar paun ya nahin
adarshonmukh hone ke ahankar se bacha loon
apne hone ki zimmedari ke ehsas
aur kuch kar paun ya nahin
mirtyu ke akarshan se bacha loon
jiwan ke zaruri adhyawsay
bacha loon patit sukhon ke wyamoh se
apni nirapradh duniya ki karun sajhedari
uplabdhi ke hashiye se dhakele gaye hum
apne samuche desh ki parikrama karte hain
DhunDhate hue we jaghen
jahan hum khapa saken apni kshamtaon ko
bacha len ek bhatki hui piDhi ke jarjar atmabal se
ek ugti hui fasal ki deh ka romanch
apne sirje sabke waibhaw mein
sharik hone ki khushi
chahe kanton ke us dhoop chhaye jangal se guzarna paDe
danton mein kiskan ho dhool bhari dharti ki
ankhon mein bukhar ki jalan ho
nason mein tutan ho rakt ki kami se
bhasha mein apne wajud ko
hasil na kar pane ki makkari se bacha len
apne samudr ke utkarshkami jal ko
piDit manushyon ki is sirishti mein
aur kuch kar paun ya nahin
adarshonmukh hone ke ahankar se bacha loon
apne hone ki zimmedari ke ehsas
स्रोत :
रचनाकार : पंकज चतुर्वेदी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.