यह भी वैसा ही शहर है
आषाढ़ की गीली माटी पर
कविता लिखता हुआ तीसरे पहर में
कुछ शहर हैं जो जलती चिता पर बारिश गिरने से बने हैं
अनुराग की एक परत पर एक परत हिंसा की
लालसा के ऊपर जवा कुसुम की माला, अच्छी तरह ढकी हुई
इनकी ओर मुख करके ही बने हैं प्रवेशद्वार देवालय के
पर कौन जाने
यहीं से निकल कर किसी ने सेंध लगाई होगी
सामंतों के शयनकक्ष में
जहाँ संवाद में जल बजता है सीपियों में
जहाँ नव वधुओं के इत्र से अधिक महक आती है रोबी ठाकुर की कहानी में
कुछ दिनों पहले
हरकारे को स्पर्श करके जो लौटा दिया था मैंने
वह तुमसे मिलता तो बताता
उसे इस शहर में मेघों ने घेरा था
बरखा ने चूमा था
एड़ियों पर सिंदू आ पसरा था नँगे पाँव एक नदी में उतरते हुए
यों भी इनके घाट में पता नहीं चलता कहाँ ख़त्म हुई साँझ
कब शुरू हुआ कालिमा का उन्मुक्त ज्वार
ढिबरी की आँच जलती है जबकि वय किनारे आ लगी है
असभ्य होता है प्रेम
और यह शहर सबसे अधिक असभ्य है इस तात्पर्य में
मेरे सोए हुए में जो रूप बदल लेता है वह मेरा नहीं हो सकता
ऐसा मैं समझती हूँ
किंतु यह तो यही कहता है
आतुर पुलों के ऊपर ही दिखाई देती है वर्षा के ठीक बाद वाली अग्नि
मन और अन्न को सेंकती हुई
व्यर्थ है ग्रंथ और उपनिषद्
याद नहीं किसने कितनी कविताएँ लिखी हैं
तुम रसोई की गीली आँच को बताना
कहाँ से आती है मीठी गंध तुम्हारी भाषा में
दो दिनों की शकरकंद को, बची हुई राख
क्या मृत्यु की तरह सेंकती है!
ye bhi waisa hi shahr hai
ashaDh ki gili mati par
kawita likhta hua tisre pahar mein
kuch shahr hain jo jalti chita par barish girne se bane hain
anurag ki ek parat par ek parat hinsa ki
lalsa ke upar jawa kusum ki mala, achchhi tarah Dhaki hui
inki or mukh karke hi bane hain praweshadwar dewalay ke
par kaun jane
yahin se nikal kar kisi ne sendh lagai hogi
samanton ke shayankaksh mein
jahan sanwad mein jal bajta hai sipiyon mein
jahan naw wadhuon ke itr se adhik mahak aati hai robi thakur ki kahani mein
kuch dinon pahle
harkare ko sparsh karke jo lauta diya tha mainne
wo tumse milta to batata
use is shahr mein meghon ne ghera tha
barkha ne chuma tha
eDiyon par sindu aa pasra tha nange panw ek nadi mein utarte hue
yon bhi inke ghat mein pata nahin chalta kahan khatm hui sanjh
kab shuru hua kalima ka unmukt jwar
Dhibri ki anch jalti hai jabki way kinare aa lagi hai
asabhy hota hai prem
aur ye shahr sabse adhik asabhy hai is tatpary mein
mere soe hue mein jo roop badal leta hai wo mera nahin ho sakta
aisa main samajhti hoon
kintu ye to yahi kahta hai
atur pulon ke upar hi dikhai deti hai warsha ke theek baad wali agni
man aur ann ko senkti hui
byarth hai granth aur upnishad
yaad nahin kisne kitni kawitayen likhi hain
tum rasoi ki gili anch ko batana
kahan se aati hai mithi gandh tumhari bhasha mein
do dinon ki shakarkand ko, bachi hui rakh
kya mirtyu ki tarah senkti hai!

स्रोत :
रचनाकार : ज्योति शोभा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.