जितनी नमी है तुम्हारे भीतर
उतने क़दम नापती हूँ मैं पानी के ऊपर
जितना पत्थर है तुम्हारे अंतर
उतना तराशती हूँ अपना मन
किसी समय के पास संवाद बहुत होते हैं
लेकिन उनका कोई अर्थ नहीं होता
जब अर्थ अनगिनत दिशाओं में बहते हैं
बात बेमानी हो जाती है
इच्छाओं की जो हरी पत्तियाँ असमय झरीं
वे गलीं, मन के भीतर ही, अपनी ही जड़ों के पास
खाद पाकर अबकी जो इच्छाएँ फलीं
वे अधिक घनेरी थीं, इनकी बाढ़ (वृद्धि) भी
गुज़िश्ता इच्छाओं से अधिक चीमड़ थी
कुछ स्मृतियों से बहुत सारे निष्कर्ष निकालती आज मैं
आदिहीन स्मृतियों और अंतहीन निष्कर्षों के बीच खड़ी हूँ
तुम्हारा आना सूरज का उगना नहीं रहा कभी
तुम हमेशा गहराती रातों में कंदील की धीमी लय बनकर आए
तुमसे बेहतर कोई नहीं जानता था
कि मुझे चौंधियाती रौशनियाँ पसंद नहीं हैं
चुप्पियों के कई लबादे ओढ़ कर अलाव तापने बैठी है रौशनी
अँधेरे इन दिनों खोह की मिट्टी हवा में उलीच रहे हैं
मेरा अँधियारों में गुम हो जाना आसान था
तुम्हारी काया थी जो अंधकार में
दीपक की लौ की तरह झिलमिलाती थी
तुम्हारी उपस्थिति में मुझे कोई भी पढ़ सकता था
हम उस चिठ्ठी को बार-बार पढ़ते हैं
जिसमें वह नहीं लिखा होता
जो हम पढ़ना चाहते थे
क्षमाओं की प्रार्थना
अपने सबसे सुंदर रूप में कविता है
भले ही आप गुनाहों में शामिल न हों।
jitni nami hai tumhare bhitar
utne qadam napti hoon main pani ke upar
jitna patthar hai tumhare antar
utna tarashti hoon apna man
kisi samay ke pas sanwad bahut hote hain
lekin unka koi arth nahin hota
jab arth anaginat dishaon mein bahte hain
baat bemani ho jati hai
ichchhaon ki jo hari pattiyan asamay jharin
we galin, man ke bhitar hi, apni hi jaDon ke pas
khad pakar abki jo ichhayen phalin
we adhik ghaneri theen, inki baDh (wriddhi) bhi
guzishta ichchhaon se adhik chimaD thi
kuch smritiyon se bahut sare nishkarsh nikalti aaj main
adihin smritiyon aur anthin nishkarshon ke beech khaDi hoon
tumhara aana suraj ka ugna nahin raha kabhi
tum hamesha gahrati raton mein kandil ki dhimi lai bankar aaye
tumse behtar koi nahin janta tha
ki mujhe chaundhiyati raushaniyan pasand nahin hain
chuppiyon ke kai labade oDh kar alaw tapne baithi hai raushani
andhere in dinon khoh ki mitti hawa mein ulich rahe hain
mera andhiyaron mein gum ho jana asan tha
tumhari kaya thi jo andhkar mein
dipak ki lau ki tarah jhilmilati thi
tumhari upasthiti mein mujhe koi bhi paDh sakta tha
hum us chiththi ko bar bar paDhte hain
jismen wo nahin likha hota
jo hum paDhna chahte the
kshmaon ki pararthna
apne sabse sundar roop mein kawita hai
bhale hi aap gunahon mein shamil na hon

स्रोत :
रचनाकार : लवली गोस्वामी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.