अपने फूलों की दहक से
वह भी तो तुम्हारी उँगलियों को छूने की प्रतीक्षा करती है
कोई एकतरफ़ा प्रेम है यह
कि नैराश्य में मिटी जा रही है तुम्हारी आँखें!
नहीं है—
कि त्वचा तुम्हारी महक को बरज दे मार्च के माह में
नहीं यह भी नहीं
यह भी सब झूठ ही गुनते हो तुम गूदा-गादी की ग़र्ज़ से
तुम प्रेम करते हो उससे
कि जीवन में यही एक प्रेम किया है तुमने
कि इसी प्रेम की ख़ातिर
तुमने पृथ्वी के असह्य सौंदर्य से क्षमा माँगी है कई बार
उन दुखों से और प्यास के पहाड़ों से भी क्षमा माँगी है
जो तुम्हे ध्वस्त किए भी तुम्हारी पँक्तियों में नहीं आते
माँगी है क्षमा पाखियों और मनुष्य के शिशुओं से
कई नर-मादा सर्पों से जिनकी सभ्यताएँ छीन ली गई हैं
फिर भी प्यास लगी आती है तुम्हारे शब्दों की देह को
जब शब्दों और अर्थों के बीच
तुम्हारे हृदय की धड़कन
और मेज़ पर बेवजह धरे पन्नों के बीच
एक अलंघ्य दूरी है
क्षमा माँगो कि क्षमा भी एक व्यर्थ का कर्म है, मित्र
जो बचा ले जाता है तुम्हें एक मुक्ताकाश में
वह भी तो तुम्हारी उँगलियों को छूने के प्रतीक्षा करती है
अपने फूलों की दहक से—
प्रतीक्षा
समय की बनी हुई नहीं है।
apne phulon ki dahak se
wo bhi to tumhari ungliyon ko chhune ki pratiksha karti hai
koi ekatrafa prem hai ye
ki nairashy mein miti ja rahi hai tumhari ankhen!
nahin hai—
ki twacha tumhari mahak ko baraj de march ke mah mein
nahin ye bhi nahin
ye bhi sab jhooth hi gunte ho tum guda gadi ki gharz se
tum prem karte ho usse
ki jiwan mein yahi ek prem kiya hai tumne
ki isi prem ki khatir
tumne prithwi ke asahy saundarya se kshama mangi hai kai bar
un dukhon se aur pyas ke pahaDon se bhi kshama mangi hai
jo tumhe dhwast kiye bhi tumhari panktiyon mein nahin aate
mangi hai kshama pakhiyon aur manushya ke shishuon se
kai nar mada sarpon se jinki sabhytayen chheen li gai hain
phir bhi pyas lagi aati hai tumhare shabdon ki deh ko
jab shabdon aur arthon ke beech
tumhare hirdai ki dhaDkan
aur mez par bewajah dhare pannon ke beech
ek alanghya duri hai
kshama mango ki kshama bhi ek byarth ka karm hai, mitr
jo bacha le jata hai tumhein ek muktakash mein
wo bhi to tumhari ungliyon ko chhune ke pratiksha karti hai
apne phulon ki dahak se—
pratiksha
samay ki bani hui nahin hai

स्रोत :
रचनाकार : तेजी ग्रोवर
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.