मैं कुछ कर नहीं सकता
जो कुछ करना होता है मेरी कविता करती होती है
मसलन, वह किसी की पलकों पर तैर सकती है
किसी की आँखों की यात्रा कर सकती है
किसी भी आड़ी-तिरछी आँखों के बीच आ सकती है
पर्वतों की तिलोत्तमा चोटियों पर आँखें गड़ा सकती है
घृताची सौंदर्य दर्शन कर सकती है
दोना नहीं भर सकती किसी भी क़दर
नए ज़माने को जानती होती है
जो कुछ करना होता है मेरी कविता करती होती है
मैं कुछ कर नहीं सकता
इस तरह वह कभी-कभी आदमी हो जाती है
जंगल से लौटकर जब आती होती है
झुग्गी-झोपड़ियाँ जब पूरी बना लेती हैं
खेत-खलिहानों से जब दूर जा पड़ती है
पर्यावरण रक्षा से जब दूर कर दी जाती है
इस तरह मेरी कविता होती है
main kuch kar nahin sakta
jo kuch karna hota hai meri kawita karti hoti hai
masalan, wo kisi ki palkon par tair sakti hai
kisi ki ankhon ki yatra kar sakti hai
kisi bhi aaDi tirchhi ankhon ke beech aa sakti hai
parwton ki tilottama chotiyon par ankhen gaDa sakti hai
ghritachi saundarya darshan kar sakti hai
dona nahin bhar sakti kisi bhi qadar
nae zamane ko janti hoti hai
jo kuch karna hota hai meri kawita karti hoti hai
main kuch kar nahin sakta
is tarah wo kabhi kabhi adami ho jati hai
jangal se lautkar jab aati hoti hai
jhuggi jhopaDiyan jab puri bana leti hain
khet khalihanon se jab door ja paDti hai
paryawarn rakhsha se jab door kar di jati hai
is tarah meri kawita hoti hai

स्रोत :
पुस्तक : दंड की अग्नि (पृष्ठ 160)
रचनाकार : शिवमंगल सिद्धांतकर
प्रकाशन : अधिकरण प्रकाशन
संस्करण : 2019
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.