गली-गली गाँव में अबूझ-सी पहेली है।
खेतों-खलिहानों में भूख ही अकेली है॥
खाने को अन्न नहीं कपड़े हैं तार-तार
अपनी तक़दीर ही रुलाती है बार-बार
मिलती है हफ़्तों में रोटी दो चार बार॥
व्याकुल से बूढ़े उदास-सी नवेली है।
खेतों-खलिहानों में भूख ही अकेली है॥
बच्चों के पेट जरै, बहू बिन दहेज बरै
चूल्हे की आग मरै, बरतन में ज़ंग धरै
करते पुकार यही उनका कोई दर्द हरै
यह कराह हरदम है, टीस ही सहेली है।
खेतों-खलिहानों में भूख ही अकेली है॥
क़िस्मत के हारे हैं, दर्द के दुलारे हैं
ममता की पनियाई आँखों के तारे हैं
पैरों में पत्थर और हाथों में गारे हैं
सपनों में बचपन की बाँस की सुपेली है।
खेतों-खलिहानों में भूख ही अकेली है॥
gali gali gaanv mein abujh si paheli hai.
kheton khalihanon mein bhookh hi akeli hai.
khanen ko ann nahin kapDe hain taar taar,
apni taqdir hi rulati hai baar baar,
milti hai hafton mein roti do chaar baar॥
vyakul se buDhe udaas si naveli hai.
kheton khalihanon mein bhookh hi akeli hai॥
bachchon ke pet jarai, bahu bin dahez barai,
chulhe ki aag marai, bartan mein jang dharai,
karte pukar yahi unka koi dard harai,
ye karah hardam hai, tees hi saheli hai.
kheton khalihanon mein bhookh hi akeli hai॥
qimat ke hare hain dard ke dulare hain,
mamta ki paniyai ankhon ke tare hain,
pairon mein patthar aur hathon mein gare hain,
sapnon mein bachpan ki baans ki supeli hai.

स्रोत :
रचनाकार : विनम्र सेन सिंह
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.