कुछ दिन हुए अख़बारों में यह चर्चा हुई थी कि अमेरिका में संपादकों के लिए स्कूल खुलने वाला है। इस स्कूल का बनना शुरू हो गया और इस वर्ष इसकी इमारत तो पूरी हो जाएगी। आशा है कि स्कूल इसी वर्ष ज़ारी भी हो जाए। अमेरिका के न्यू प्रांत में कोलंबिया नामक एक विश्वविद्यालय है। वही इस स्कूल को खोल रहा है। जैसे, क़ानून, डॉक्टरी, इंजीनियरी और कला-कौशल आदि के अलग-अलग स्कूल और कॉलेज हैं। और अलग-अलग होकर भी किसी विश्वविद्यालय से संबंध रखते हैं, वैसे ही संपादकीय विद्या सिखाने का यह स्कूल भी कोलंबिया के विश्वविद्यालय मे संबंध रखेगा। संसार में इस प्रकार का पहला स्कूल होगा।
और कोई देश ऐसा नहीं जिसमें अमेरिका के बराबर अख़बार निकलते हो। मासिक और साप्ताहिक अख़बारों को जाने दीजिए, केवल दैनिक अख़बार यहाँ से 2,000 से भी अधिक निकलते हैं। इतने दैनिक अख़बार दुनिया में कहीं नहीं निकलते। जहाँ अख़बारों का इतना आधिक्य है वहाँ अख़बार नवीसी का स्कूल खोलने की यदि ज़रूरत पड़े तो कोई आश्चर्य की बात नहीं। अमेरिका में जैसे और व्यवसाय-रोजगार हैं—वैसे ही अख़बार लिखना भी एक व्यवसाय है। जो लोग इस व्यवसाय को करना चाहेंगे वे इस स्कूल में दो वर्ष तक रहकर संपादकीय विद्या सीखेंगे। जो लोग इस समय संपादन कर भी रहे हैं वे भी इस स्कूल में, कुछ काल तक रहकर, संपादन कला में कुशलता प्राप्त कर सकेंगे। इस स्कूल के लिए बीस लाख डॉलर धन एकत्र किया गया है; और पचास हज़ार डॉलर लगाकर इसकी इमारत बन रही है। हार्वर्ड विश्वविद्यालय के सभापति, इलियट साहब से पूछा गया था कि इस स्कूल में कौन-कौन से विषय सिखाए जाएँ। इलियट साहब ने विषयों की नामावली इस प्रकार दी है—
प्रबंध-विषय—दफ़्तर की स्थिति-स्थापकता, प्रकाशक के कर्त्तव्य; अख़बार का प्रचार, विज्ञापन-विभाग; संपादकीय और संवाददाताओं का विभाग; स्थानीय, बाहरी और विदेशी समाचार-विभाग, साहित्य और समालोचना-विभाग, राज-कर-विभाग, खेल-कूद और शारीरिक व्यायाम विभाग इन सब विभागों के विषय में अच्छी तरह से शिक्षा दी जाएगी और प्रत्येक विषय की छोटी से भी छोटी बातों पर व्याख्यान होंगे।
कला-कौशल (कारीगरी) विषय—छापना, स्याही, काग़ज़, इल्यक्ट्रो-टाइपिंग, स्टीरियो टाइपिंग, अक्षर-योजना, अक्षर ढालना, चित्रों की नक़ल उतारना, जिल्द बाँधना, काग़ज़ काटना और सीना इत्यादि।
क़ानून-विषय—स्वत्व-रक्षण (कॉपी राइट), विधि दीवानी और फ़ौजदारी, मानहानि-विधि; राजद्रोह-विषयक विधि, न्यायालय के काव्यों का समालोचना-संबंधी कर्त्तव्य; संपादक, प्रकाशक, लेखक और संवाददाताओं की ज़िम्मेदारी का विधान, संपादकीय कर्त्तव्याकर्त्तव्य अथवा नीतिविद्या। संपादकों की सर्वसाधारण के संबंध रखने वाली ज़िम्मेदारी का ज्ञान। समाचारों को प्रकाशित करने में समाचारपत्रों के संपादक और स्वामी के मत प्रदर्शन की सीमा मत प्रकट करने में संपादक, प्रकाशक और संवाददाता का परस्पर संबंध।
अख़बारों का इतिहास। अख़बारों की स्वतंत्रता इत्यादि।
फुटकर बातें—सर्वसम्मत से स्वीकार किए गए विराम-चिह्न, वर्ण-विचार, संक्षेप-चिह्न, शोधन-विधि आदि। पैराग्राफ़ और संपादकीय लेख लिखना, इतिहास, भूगोल, राजकर, राज्य स्थिति, देश व्यवस्था, गार्हस्थ्य-विधान और अर्थशास्त्र आदि के सिद्धांतों के अनुसार प्रस्तुत विषयों का विचार करना।
इलियट साहब का मत है कि संपादक के लिए इन सब बातों को जानना बहुत ज़रूरी है। सत्य की खोज में जो लोग रहते हैं, उनकी भी अपेक्षा संपादकों के लिए अधिक शिक्षा दरकार है। आजकल के संपादकों में सबसे बड़ी न्यूनता यह पाई जाती है कि वे सत्य को जानने में बहुधा असफ़ल होते हैं, उनमें इतनी योग्यता ही नहीं होती कि वे यथार्थ बात जान सकें। इतिहास के तत्त्व और दूसरे शास्त्रों के मूल सिद्धांतों को भली-भाँति न जानने के कारण संपादक लोग कभी-कभी बहुत बड़ी ग़लतियाँ कर बैठते हैं।
संपादकों के लिए एक और भी गुण दरकार होता है। वह है लेखन कौशल। इसका भी होना बहुत आवश्यक है। इसके बिना अख़बारों का आदर नहीं हो सकता। यह कौशल स्वाभाविक भी होता है और सीखने से भी आ सकता है। जिनमें लेखन-कला स्वभाव-सिद्ध नहीं होती उनको शिक्षण से सादृश लाभ नहीं होता। परंतु स्वभाव-सिद्ध लेखकों को शिक्षण मिलने से उनकी लेखन शक्ति और भी तीव्र हो जाती है।
इलियट साहब ने संपादक के लिए जिन-जिन विषयों का ज्ञान आवश्यक बतलाया है उनका विचार करके हम हिंदी के समाचार-पत्र और मासिक पुस्तकों के संपादकों को, अपनी योग्यता का अनुमान करने में बहुत बड़ी विषमता दृग्गोचर होती है। अमेरिका के समान सभ्य और शिक्षित देश में जब संपादकों को उनका व्यवसाय सिखलाने की ज़रूरत है, तब अर्द्धशिक्षित देशों की क्या कथा? इस दशा में बेचारा भारतवर्ष किस गिनती में है?
[जनवरी, 1904 में प्रकाशित। 'साहित्य-सीकर' पुस्तक में संकलित।]
kuch din hue akhbaron mein ye charcha hui thi ki amerika mein sampadkon ke liye school khulne vala hai. is school ka banna shuru ho gaya aur is varsh iski imarat to puri ho jayegi. aasha hai ki school isi varsh zari bhi ho jaye. amerika ke new praant mein colombia namak ek vishvavidyalay hai. vahi is school ko khol raha hai. jaise, qanun, Dauktri, injiniyri aur kala kaushal aadi ke alag alag school aur college hain. aur alag alag hokar bhi kisi vishvavidyalay se sambandh rakhte hain, vaise hi sanpadakiy viddya khilane ka ye school bhi colombia ke vishvavidyalay mae sambandh rakhega. sansar mein is prakar ka pahla school hoga.
aur koi desh aisa nahin jismen amerika ke barabar akhbar nikalte ho. masik aur saptahik akhbaron ko jane dijiye, keval dainik akhbar yahan se 2,000 se bhi adhik nikalte hai. itne dainik akhbar duniya mein kahin nahin nikalte. jahan akhbaron ka itna adhiky hai vahan akhbar navisi ka school kholne ki yadi zarurat paDe to koi ashchary ki baat nahin. amerika mein jaise aur vyavsay rojagar hain—vaise hi akhbar likhna bhi ek vyavsay hai. jo log is vyavsay ko karna chahenge ve is school mein do varsh tak rahkar sanpadakiy viddya sikhenge. jo log is samay sampadakta kar bhi rahe hain ve bhi is school mein, kuch kaal tak rahkar, sanpadan kala mein kushalta praapt kar sakenge. is school ke liye bees laakh dollar dhan ekatr kiya gaya hai; aur pachas hazar dollar lagakar iski imarat ban rahi hai. harvarD vishvavidyalay ke sabhapati, iliyat sahab se puchha gaya tha ki is school mein kaun kaun vishay sikhaye jaye. iliyat sahab ne vishyon ki namavali is prakar di hai—
prbandh vishay—daftar ki sthitisthapakta prakashak ke karttavya; akhvar ka parchar, vigyapan vibhag; sanpadakiy aur sanvaddataon ka vibhag asthaniya, bahari aur videshi samachar vibhag sahity aur samalochana vibhag raaj kar vibhag khel kood aur sharirik vyayam vibhag in sab vibhagon ke vishay mein achchhi tarah se shiksha di jayegi aur pratyek vishay ki chhoti se bhi chhoti baton par vyakhyan honge.
kala kaushal (karigari) vishay—chhapna, syahi, kaghaz, ilyaktro taiping, stiriyo typing, akshar yojna, akshar Dhalna, chitron ki naqal utarna, jild bandhna, kaghaz katna aur sina ityadi.
qanun vishay svatv rakshan (copy rait) vidhi divani aur faujadari manahani vidhi; rajadroh vishayak vidhi, nyayalay ke kavyon ka samalochana sambandhi karttavya, sanpadak, prakashak, lekhak aur sanvaddataon ki zimmedari ka vidhan sanpadakiy karttavyakarttavya athva nitividya. sampadkon ki sarvasadharan ke sambandh rakhne vali zimmedari ka gyaan. samacharon ko prakashit karne mein samacharpatron ke sanpadak aur svami ke mat pradarshan ki sima mat prakat karne mein sanpadak, prakashak aur sanvadadata ka paraspar sambandh.
akhbaron ka itihas. akhbaron ki svatantrata ityadi.
iliyat sahab ka mat hai ki sanpadak ke liye in sab baton ko janna bahut zaruri hai. saty ki khoj mein jo log rahte hain, unki bhi apeksha sampadkon ke liye adhik shiksha darkar hai. ajkal ke sampadkon mein sabse baDi nyunata ye pai jati hai ki ve saty ko janne mein bahudha hat safal hote hain, unmen itni yogyata hi nahin hoti ki ve yatharth baat jaan saken. itihas ke tattv aur dusre shastron ke mool siddhanton ko bhali bhanti na janne ke karan sanpadak log kabhi kabhi bahut baDi ghalatiyan kar baithte hain.
sampadkon ke liye ek aur bhi gun darkar hota hai. wo hai lekhan kaushal. iska bhi hona bahut avashyak hai. iske bina akhbaron ka aadar nahin ho sakta. ye kaushal svabhavik bhi hota hai aur sikhne se bhi aa sakta hai. jinmen lekhan kala svbhaav siddh nahin hoti unko shikshan se sadrish laabh nahin hota. parantu svbhaav siddh lekhkon ko shikshan milne se unki lekhan shakti aur bhi teevr ho jati hai.
iliyat sahab ne sanpadak ke liye jin jin vishyon ka gyaan avashyak batlaya hai unka vichar karke hum hindi ke samachar patr aur masik pustakon ke sampadkon ko, apni yogyata ka anuman karne mein bahut baDi vishamata driggochar hoti hai. amerika ke saman sabhy aur shikshait desh mein jab sampadkon ko unka vyavsay sikhlane ki zarurat hai, tab arddhshikshit deshon ki kya katha? is dasha mein bechara bharatavarshan kis ginti mein hai?

हिंदी क्षेत्र की भाषाओं-बोलियों का व्यापक शब्दकोश : हिन्दवी डिक्शनरी
‘हिन्दवी डिक्शनरी’ हिंदी और हिंदी क्षेत्र की भाषाओं-बोलियों के शब्दों का व्यापक संग्रह है। इसमें अंगिका, अवधी, कन्नौजी, कुमाउँनी, गढ़वाली, बघेली, बज्जिका, बुंदेली, ब्रज, भोजपुरी, मगही, मैथिली और मालवी शामिल हैं। इस शब्दकोश में शब्दों के विस्तृत अर्थ, पर्यायवाची, विलोम, कहावतें और मुहावरे उपलब्ध हैं।