प्रस्तुत पाठ एनसीईआरटी की कक्षा दूसरी के पाठ्यक्रम में शामिल है।
नरेंद्र को चंपक का पेड़ बहुत पसंद था। चंपक के पेड़ पर लटककर झूलना उन्हें और भी पसंद था। चंपक का यह पेड़ उनके मित्र के घर लगा था।
नरेंद्र आठ साल की उम्र से ही अपने मित्र के घर खेलने जाया करते थे। हर दिन की तरह वे चंपक के पेड़ पर झूल रहे थे।
तभी उनके मित्र के दादाजी वहाँ आए और बोले—“नरेंद्र, पेड़ से उतरो। दुबारा इस पेड़ पर मत चढ़ना।”
“क्यों दादाजी?”
“इस पेड़ पर एक दैत्य रहता है।”
“उस दैत्य के बारे में कुछ बताइए न, दादाजी!”
दादाजी को डर था कि कहीं पेड़ की डाल टूट गई तो नरेंद्र पेड़ से गिर पड़ेंगे और उन्हें चोट लग जाएगी।
दादाजी ने बताया, “वह दैत्य बहुत डरावना है।”
दादाजी की बात सुनकर नरेंद्र को अचरज हुआ। वे बोले, “दादाजी दैत्य के बारे में और बताइए न!”
“वह पेड़ पर चढ़ने वालों की गर्दन तोड़ देता है।”
नरेंद्र दादाजी की सारी बातें ध्यान से सुन आगे बढ़ गए। यह देख दादाजी मुस्कुराए और वे भी आगे बढ़ गए। उन्हें लगा कि बालक दैत्य की बात सुनकर डर गया है। अब वह पेड़ पर नहीं चढ़ेगा।
लेकिन दादाजी जैसे ही कुछ आगे बढ़े, नरेंद्र फिर से पेड़ पर चढ़ गए और डाल पर झूलने लगे।
यह देख उनका मित्र ज़ोर से चीख़ा, “नरेंद्र, तुमने दादाजी की बात नहीं सुनी? वह दैत्य तुम्हारी गर्दन तोड़ देगा।”
नरेंद्र ने हँसकर कहा, “तुम भी कितने भोले हो! अगर दादाजी की बात सच होती तो मेरी गर्दन टूट चुकी होती। लेकिन ऐसा हुआ क्या?”
“नहीं तो।”
“यही तो! किसी ने तुमसे कुछ कहा है, उस पर यक़ीन मत करो। ख़ुद सोचो। इसलिए डरो मत!”
आगे चलकर यही बालक नरेंद्र स्वामी विवेकानंद के नाम से प्रसिद्ध हुए। स्वामी विवेकानंद बचपन से ही निडर और समझदार थे।
narendr ko champak ka peD bahut pasand tha. champak ke peD par latakkar jhulana unhen aur bhi pasand tha. champak ka ye peD unke mitr ke ghar laga tha.
narendr aath saal ki umr se hi apne mitr ke ghar khelne jaya karte the. har din ki tarah ve
champak ke peD par jhool rahe the.
tabhi unke mitr ke dadaji vahan aaye aur bole—“narendr, peD se utro. dubara is peD par mat chaDhna. ”
“kyon dadaji?”
“is peD par ek daitya rahta hai. ”
“us daitya ke bare mein kuch bataiye na, dadaji!”
dadaji ko Dar tha ki kahin peD ki Daal toot gai to narendr peD se gir paDenge aur unhen chot lag jayegi.
dadaji ne bataya, “vah daitya bahut Daravna hai. ”
dadaji ki baat sunkar narendr ko achraj hua. ve bole, “dadaji daitya ke bare mein aur bataiye na!”
“vah peD par chaDhne valon ki gardan toD deta hai. ”
narendr dadaji ki sari baten dhyaan se sun aage baDh ge. ye dekh dadaji muskuraye aur ve bhi aage baDh ge. unhen laga ki balak daitya ki baat sunkar Dar gaya hai. ab wo peD par nahin chaDhega.
lekin dadaji jaise hi kuch aage baDhe, narendr phir se peD par chaDh ge aur Daal par jhulne lage.
ye dekh unka mitr zor se chikha, “narendr, tumne dadaji ki baat nahin suni? wo daitya tumhari gardan toD dega. ”
narendr ne hansakar kaha, “tum bhi kitne bhole ho! agar dadaji ki baat sach hoti to meri gardan toot chuki hoti. lekin aisa hua kyaa?”
“nahin to. ”
“yahi to! kisi ne tumse kuch kaha hai, us par yaqin mat karo. khud socho. isliye Daro mat!”
aage chalkar yahi balak narendr svami vivekanand ke naam se prasiddh hue. svami vivekanand bachpan se hi niDar aur samajhdar the.

हिंदी क्षेत्र की भाषाओं-बोलियों का व्यापक शब्दकोश : हिन्दवी डिक्शनरी
‘हिन्दवी डिक्शनरी’ हिंदी और हिंदी क्षेत्र की भाषाओं-बोलियों के शब्दों का व्यापक संग्रह है। इसमें अंगिका, अवधी, कन्नौजी, कुमाउँनी, गढ़वाली, बघेली, बज्जिका, बुंदेली, ब्रज, भोजपुरी, मगही, मैथिली और मालवी शामिल हैं। इस शब्दकोश में शब्दों के विस्तृत अर्थ, पर्यायवाची, विलोम, कहावतें और मुहावरे उपलब्ध हैं।