वे भूरि संख्यक साधु जिनके पंथ-भेद अनंत है—
अवधूत, यति, नागा, उदासी, संत और महंत हैं।
हा! वे गृहस्थों से अधिक हैं आज रागी दीखते,
अत्यल्प हो सच्चे विरागी और त्यागी दीखते॥
जो कामिनी-कांचन न छूटा फिर विराग रहा कहाँ?
पर चिह्न तो वैराग्य का अब है जटाओं में यहाँ!
भूखों मरे कि जटा रखा कर साधु कहलाने लगे,
चिमटा लिया,'भस्मी' रमाई, माँगने-खाने लगे!!
संख्या अनुद्योगी जनों की ही न उनसे बढ़ रही—
शुचि साधुता पर भी कुयश की कालिमा है चढ़ रही।
है भस्म-लेपन से कहीं मन की मलिनता छूटती?
हा! साधु-मर्यादा हमारी दिनों-दिन टूटती!
यदि ये हमारे साधु ही कर्तव्य अपना पालते—
तो देश का बेड़ा कभी का पार ये कर डालते।
पर हाय! इनमें ज्ञान तो बस राम का ही नाम है,
दम की चिलम में लौ उठाना मुख्य इनका काम है!
we bhuri sankhyak sadhu jinke panth bhed anant hai
awadhut,yati,naga,udasi,sant aur mahant hain
ha! we grihasthon se adhik hain aaj ragi dikhte,
atyalp ho sachche wiragi aur tyagi dikhte॥
jo kamini kanchan na chhuta phir wirag raha kahan?
par chinh to wairagy ka ab hai jataon mein yahan!
bhukhon mare ki jata rakha kar sadhu kahlane lage,
chimta liya,bhasmi ramai, mangne khane lage!!॥
sankhya anudyogi janon ki hi na unse baDh rahi
shuchi sadhuta par bhi kuyash ki kalima hai chaDh rahi
hai mamm lepan se kahin man ki malinta chhutti?
ha! sadhu maryada hamari dinon din tutti!॥
yadi ye hamare sadhu hi kartawya apna palte
to desh ka beDa kabhi ka par ye kar Dalte
par hay! inmen gyan to bus ram ka hi nam hai,
das ki chilam mein lau uthana mukhy inka kaam hai!॥

स्रोत :
पुस्तक : भारत भारती (पृष्ठ 128)
रचनाकार : मैथलीशरण गुप्त
प्रकाशन : साहित्य सदन चिरगाँव झाँसी
संस्करण : 1984
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.