उतर चली यौवन की मदिरा अब तो शेष खुमारी है,
पागल घड़ियों की रंगरलियों की सुधि मन पर भारी है,
सुरा पुरानी जितनी होती उतनी ही मादक होती,
याद पुरानी जितनी होती उतनी ही घातक होती।
अंधकारमय मेरा पथ है और भविष्यत् का सागर
गर्जन करता मेरे आगे बन विपदाओ का आकर,
लेकिन, भाई, मुझे नहीं है फिर भी मरने की अभिलाषा,
घटी नहीं मेरी जीवन की, सपनों की, पीड़ा की प्यास।
मैं चिंताओं और व्यथाओं और वेदनाओं के बीच,
सुख के अश्रु कणों से अपना मुर्झाया मुख लूँगा सींच,
एकबार फिर पागल होकर गाऊँगा मैं स्वर्गिक गान,
एक बार फिर स्वप्न करेंगे मेरे दृग स्रोतों से स्नान।
'ओ' जीवन की अंतिम बेला आएगी जब पास, उदास,
प्रणय विदा की मुसकानों से रजित कर देगा आकाश।
utar chali yauvan ki madira ab to shesh khumari hai,
pagal ghaDiyon ki rangaraliyon ki sudhi man par bhari hai,
sura purani jitni hoti utni hi madak hoti,
yaad purani jitni hoti utni hi ghatak hoti.
andhkarmay mera path hai aur bhavishyat ka sagar
garjan karta mere aage ban vipdao ka aakar,
lekin, bhai, mujhe nahin hai phir bhi marne ki abhilasha,
ghati nahin meri jivan ko, sapnon ki, piDa ki pyaas.
mein chitao aur vythaam aur vednashri ke beech,
sukh ke ashru kanon se apna murjhaya mukh lunga seench,
ekbaar phir pagal hokar gaunga main svargik gaan,
ek baar phir svapn karenge mere drig sroton se snaan.
o jivan ki antim bela ayegi jab paas, udaas,
pranay vida ki muskanon se rajit kar dega akash.

स्रोत :
पुस्तक : चौंसठ रूसी कविताएँ (पृष्ठ 73)
रचनाकार : अलेक्सांद्र पूश्किन
प्रकाशन : राजपाल एंड संस
संस्करण : 1964
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.