धरती अपनी पीठ पर
लिख रही थी
दुख की फ़ेहरिस्त
आसमान प्रेम से
ताक रहा था
लोग कहते थे उस दिन
भीग गई थी शहर की
काई लगी दीवारें
मिट्टी अपनी हथेलियों को
और नरम बना रही है
ताकि सोख लें
कुछ और नमक
रक्त से सनी सड़कें
वेदना से काँप रही थीं
कोई नया जन्म हुआ शायद
निरंतर घूम रहे
अपने धुरी पर नक्षत्र
और वहीं से बदल
रहे हैं हमारा भाग्य
लोग उसे वेश्या कहते थे
नाम भी रहा होगा कुछ
ख़र्च करती थी स्वयं को
रोज़ एक सिक्के की तरह
बदले में भी मिलते थे
कुछ सिक्के
इन्ही सिक्कों में से कुछ सिक्के
सहेज रही थी
धरती का क़र्ज़ उतारने के लिए
प्यासे गले को तर करने के लिए
एक दिन वही सिक्के गलने लगे
और बनवाया गया रम्मा
कुआँ और गहरा होने लगा
नक़्क़ाशीदार
सुंदर पत्थरों से जगमग
एक वेश्या के शरीर से उतरे
खनखनाते सिक्के
ढल रहे थे कुँओं की भीत पर
समाज की नज़रों में
गिरी हुई औरत थी वह
न जाने कितनी दुआओं के बाद
जन्म लिया था उसने।
dharti apni peeth par
likh rahi thi
dukh ki fehrist
asman prem se
tak raha tha
log kahte the us din
bheeg gai thi shahr ki
kai lagi diwaren
mitti apni hatheliyon ko
aur naram bana rahi hai
taki sokh len
kuch aur namak
rakt se sani saDken
wedna se kanp rahi theen
koi naya janm hua shayad
nirantar ghoom rahe
apne dhuri par nakshatr
aur wahin se badal
rahe hain hamara bhagya
log use weshya kahte the
nam bhi raha hoga kuch
kharch karti thi swayan ko
roz ek sikke ki tarah
badle mein bhi milte the
kuch sikke
inhi sikkon mein se kuch sikke
sahej rahi thi
dharti ka qarz utarne ke liye
pyase gale ko tar karne ke liye
ek din wahi sikke galne lage
aur banwaya gaya ramma
kuan aur gahra hone laga
naqqashidar
sundar patthron se jagmag
ek weshya ke sharir se utre
khankhanate sikke
Dhal rahe the kunon ki bheet par
samaj ki nazron mein
giri hui aurat thi wo
na jane kitni duaon ke baad
janm liya tha usne
dharti apni peeth par
likh rahi thi
dukh ki fehrist
asman prem se
tak raha tha
log kahte the us din
bheeg gai thi shahr ki
kai lagi diwaren
mitti apni hatheliyon ko
aur naram bana rahi hai
taki sokh len
kuch aur namak
rakt se sani saDken
wedna se kanp rahi theen
koi naya janm hua shayad
nirantar ghoom rahe
apne dhuri par nakshatr
aur wahin se badal
rahe hain hamara bhagya
log use weshya kahte the
nam bhi raha hoga kuch
kharch karti thi swayan ko
roz ek sikke ki tarah
badle mein bhi milte the
kuch sikke
inhi sikkon mein se kuch sikke
sahej rahi thi
dharti ka qarz utarne ke liye
pyase gale ko tar karne ke liye
ek din wahi sikke galne lage
aur banwaya gaya ramma
kuan aur gahra hone laga
naqqashidar
sundar patthron se jagmag
ek weshya ke sharir se utre
khankhanate sikke
Dhal rahe the kunon ki bheet par
samaj ki nazron mein
giri hui aurat thi wo
na jane kitni duaon ke baad
janm liya tha usne
स्रोत :
रचनाकार : अनुराधा ओस
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.