इस मौसम में मैं तुम्हें याद करता था
और अभी भोर की राह देख रहा हूँ
कि बरसते पानी की बूँदें देख सकूँ
अँधेरे शहर की सारी प्यास
मेरी आँखों में है
मैं उन प्रतीक्षारत आँखों का शुक्रगुज़ार हूँ
जो मेरे किनारे पर पहुँचने तक
हर नाव पर अपना दिल धड़काती रहीं
चित्रकार अपना आधा चित्र छोड़ कर
रसोई में चला गया
उसकी दाल जल रही है
कुम्हार के बच्चे को दस्त लग गए हैं
और अनगढ़ मिट्टी में सुराही राह देख रही है
और मंद होती जा रही है चाक की रफ़्तार
प्रेमी के घर से राशन पहुँचाने की ख़बर है
और गहन अंतरंगता के क्षणों में
बदहवास प्रेमिका को याद आ गया है
कि उसका भी राशन ख़त्म हो चुका है
शुक्रगुज़ार हूँ उन प्रतीक्षारत आँखों का
जो मेरे पहुँचने से ऐन पहले तक ज़िंदा रहीं।
is mausam mein main tumhein yaad karta tha
aur abhi bhor ki rah dekh raha hoon
ki baraste pani ki bunden dekh sakun
andhere shahr ki sari pyas
meri ankhon mein hai
main un pratiksharat ankhon ka shukraguzar hoon
jo mere kinare par pahunchne tak
har naw par apna dil dhaDkati rahin
chitrkar apna aadha chitr chhoD kar
rasoi mein chala gaya
uski dal jal rahi hai
kumhar ke bachche ko dast lag gaye hain
aur angaDh mitti mein surahi rah dekh rahi hai
aur mand hoti ja rahi hai chaak ki raftar
premi ke ghar se rashan pahunchane ki khabar hai
aur gahan antrangta ke kshnon mein
badahwas premika ko yaad aa gaya hai
ki uska bhi rashan khatm ho chuka hai
shukraguzar hoon un pratiksharat ankhon ka
jo mere pahunchne se ain pahle tak zinda rahin
is mausam mein main tumhein yaad karta tha
aur abhi bhor ki rah dekh raha hoon
ki baraste pani ki bunden dekh sakun
andhere shahr ki sari pyas
meri ankhon mein hai
main un pratiksharat ankhon ka shukraguzar hoon
jo mere kinare par pahunchne tak
har naw par apna dil dhaDkati rahin
chitrkar apna aadha chitr chhoD kar
rasoi mein chala gaya
uski dal jal rahi hai
kumhar ke bachche ko dast lag gaye hain
aur angaDh mitti mein surahi rah dekh rahi hai
aur mand hoti ja rahi hai chaak ki raftar
premi ke ghar se rashan pahunchane ki khabar hai
aur gahan antrangta ke kshnon mein
badahwas premika ko yaad aa gaya hai
ki uska bhi rashan khatm ho chuka hai
shukraguzar hoon un pratiksharat ankhon ka
jo mere pahunchne se ain pahle tak zinda rahin
स्रोत :
रचनाकार : सारुल बागला
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.