झाड़ियाँ बड़ी हो गई हैं
सड़क से अब वरुणा का घर नहीं दिखता
वरुणा के बारे में सोचें तो कई चीज़ें याद आएँगी
जैसे बारिश के तुरंत बाद छाई
धुँध...
चीड़ की वह जड़ कैसे झूल रही है
रीढ़ चटक गई शायद तने की
छलाँग रहा होगा घाटी में
पेड़ भी आख़िर ऊबते ही हैं
उदास आवाज़ में वरुणा कहती है
फिर नीचे बहते बरसाती नाले के
बहाव में खो जाती है
ऐसी ही है वरुणा
मुझे याद आती है एक शाम
मेज़ पर रखे ग्लास को एकटक निहारती
हौले से सिहरती है वरुणा
ख़ालीपन को छुआ जा सकता है
देखी जा सकती हैं उसकी गतिविधियाँ
कई कोणों से
क्या कर रही होगी वरुणा इस वक़्त?
शायद धूप ढलान पर से उतर चुकी होगी।
jhaDiyan baDi ho gai hain
saDak se ab waruna ka ghar nahin dikhta
waruna ke bare mein sochen to kai chizen yaad ayengi
jaise barish ke turant baad chhai
dhundh
cheeD ki wo jaD kaise jhool rahi hai
reeDh chatak gai shayad tane ki
chhalang raha hoga ghati mein
peD bhi akhir ubte hi hain
udas awaz mein waruna kahti hai
phir niche bahte barsati nale ke
bahaw mein kho jati hai
aisi hi hai waruna
mujhe yaad aati hai ek sham
mez par rakhe glas ko ektak niharti
haule se siharti hai waruna
khalipan ko chhua ja sakta hai
dekhi ja sakti hain uski gatiwidhiyan
kai konon se
kya kar rahi hogi waruna is waqt?
shayad dhoop Dhalan par se utar chuki hogi
jhaDiyan baDi ho gai hain
saDak se ab waruna ka ghar nahin dikhta
waruna ke bare mein sochen to kai chizen yaad ayengi
jaise barish ke turant baad chhai
dhundh
cheeD ki wo jaD kaise jhool rahi hai
reeDh chatak gai shayad tane ki
chhalang raha hoga ghati mein
peD bhi akhir ubte hi hain
udas awaz mein waruna kahti hai
phir niche bahte barsati nale ke
bahaw mein kho jati hai
aisi hi hai waruna
mujhe yaad aati hai ek sham
mez par rakhe glas ko ektak niharti
haule se siharti hai waruna
khalipan ko chhua ja sakta hai
dekhi ja sakti hain uski gatiwidhiyan
kai konon se
kya kar rahi hogi waruna is waqt?
shayad dhoop Dhalan par se utar chuki hogi
स्रोत :
पुस्तक : कबाड़ी का तराज़ू (पृष्ठ 85)
रचनाकार : निर्मला गर्ग
प्रकाशन : राधाकृष्ण प्रकाशन
संस्करण : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.