तमाम निराशा के बीच
तुम मुझे मिलीं
सुखद अचरज की तरह
मुस्कान में ठिठक गए
आँसू की तरह
शहर में जब प्रेम का अकाल पड़ा था
और भाषा में
रह नहीं गया था
उत्साह का जल
तुम मुझे मिलीं
ओस में भीगी हुई
दूब की तरह
दूब में मंगल की
सूचना की तरह
इतनी धूप थी
कि पेड़ों की छाँह को
अप्रासंगिक बनाती हुई
इतनी चौंध
कि स्वप्न के सारे वितान को
छितराती हुई
तुम मुझे मिलीं
थकान में उतरती हुईं
नींद की तरह
नींद में अपने प्राणों के
स्पर्श की तरह
जब समय को था संशय
इतिहास में उसे कहाँ होना है
तुमको यह अनिश्चय
तुम्हें क्या खोना है
तब मैं तुम्हें खोजता था
असमंजस की सन्ध्या में नहीं
निर्विकल्प उषा की लालिमा में
तुम मुझे मिलीं
निस्संग रास्ते में
मित्र की तरह
मित्रता की सरहद पर
प्रेम की तरह
tamam nirasha ke beech
tum mujhe milin
sukhad achraj ki tarah
muskan mein thithak gaye
ansu ki tarah
shahr mein jab prem ka akal paDa tha
aur bhasha mein
rah nahin gaya tha
utsah ka jal
tum mujhe milin
os mein bhigi hui
doob ki tarah
doob mein mangal ki
suchana ki tarah
itni dhoop thi
ki peDon ki chhanh ko
aprasangik banati hui
itni chaundh
ki swapn ke sare witan ko
chhitrati hui
tum mujhe milin
thakan mein utarti huin
neend ki tarah
neend mein apne pranon ke
sparsh ki tarah
jab samay ko tha sanshay
itihas mein use kahan hona hai
tumko ye anishchay
tumhein kya khona hai
tab main tumhein khojta tha
asmanjas ki sandhya mein nahin
nirwikalp usha ki lalima mein
tum mujhe milin
nissang raste mein
mitr ki tarah
mitrata ki sarhad par
prem ki tarah
tamam nirasha ke beech
tum mujhe milin
sukhad achraj ki tarah
muskan mein thithak gaye
ansu ki tarah
shahr mein jab prem ka akal paDa tha
aur bhasha mein
rah nahin gaya tha
utsah ka jal
tum mujhe milin
os mein bhigi hui
doob ki tarah
doob mein mangal ki
suchana ki tarah
itni dhoop thi
ki peDon ki chhanh ko
aprasangik banati hui
itni chaundh
ki swapn ke sare witan ko
chhitrati hui
tum mujhe milin
thakan mein utarti huin
neend ki tarah
neend mein apne pranon ke
sparsh ki tarah
jab samay ko tha sanshay
itihas mein use kahan hona hai
tumko ye anishchay
tumhein kya khona hai
tab main tumhein khojta tha
asmanjas ki sandhya mein nahin
nirwikalp usha ki lalima mein
tum mujhe milin
nissang raste mein
mitr ki tarah
mitrata ki sarhad par
prem ki tarah
स्रोत :
रचनाकार : पंकज चतुर्वेदी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.