कोई  छींकता  तक  नहीं  
इस  डर  से  
कि  मगध  की  शांति  
भंग  न  हो  जाए,  
मगध  को  बनाए  रखना  है  तो  
मगध  में  शांति  
रहनी  ही  चाहिए  
कोई  चीख़ता  तक  नहीं  
इस  डर  से  
कि  मगध  की  व्यवस्था  में  
दख़ल  न  पड़  जाए  
मगध  में  व्यवस्था  रहनी  ही  चाहिए  
मगध  में  न  रही  
तो  कहाँ  रहेगी?  
क्या  कहेंगे  लोग?  
लोगों  का  क्या?  
लोग  तो  यह  भी  कहते  हैं  
मगध  अब  कहने  को  मगध  है,  
रहने  को  नहीं  
कोई  टोकता  तक  नहीं  
इस  डर  से  
कि  मगध  में  
टोकने  का  रिवाज  न  बन  जाए  
एक  बार  शुरू  होने  पर  
कहीं  नहीं  रुकता  हस्तक्षेप—  
वैसे  तो  मगधवासियो,  
कितना  भी  कतराओ  
तुम  बच  नहीं  सकते  हस्तक्षेप  से—  
जब  कोई  नहीं  करता  
तब  नगर  के  बीच  से  गुज़रता  हुआ  
मुर्दा  
यह  प्रश्न  कर  हस्तक्षेप  करता  है—  
मनुष्य  क्यों  मरता  है?  
             
                koi  chhinkta  tak  nahin  
is  Dar  se  
ki  magadh  ki  shanti  
bhang  na  ho  jaye,  
magadh  ko  banaye  hai,to,  
magadh  mein  shanti  
rahni  hi  chahiye  
koi  chikhta  tak  nahin  
is  Dar  se  
ki  magadh  ki  wyawastha  mein  
dakhal  na  paD  jaye  
magadh  mein  wyawastha  rahni  hi  chahiye  
magadh  mein  na  rahi  
to  kahan  rahegi?  
kya  kahenge  log?  
logon  ka  kya?  
log  to  ye  bhi  kahte  hain  
magadh  ab  kahne  ko  magadh  hai,  
koi  tokta  tak  nahin  
is  Dar  se  
ki  magadh  mein  
tokne  ka  riwaj  na  ban  jaye  
ek  bar  shuru  hone  par  
kahin  nahin  rukta  hastakshaep  
waise  to  magadhwasiyon  
kitna  bhi  katrao  
tum  bach  nahin  sakte  hastakshaep  se  
jab  koi  nahin  karta  
tab  nagar  ke  beech  se  guzarta  hua  
murda  
ye  parashn  kar  hastakshaep  karta  hai  
manushya  kyon  marta  hai?  
koi  chhinkta  tak  nahin  
is  Dar  se  
ki  magadh  ki  shanti  
bhang  na  ho  jaye,  
magadh  ko  banaye  hai,to,  
magadh  mein  shanti  
rahni  hi  chahiye  
koi  chikhta  tak  nahin  
is  Dar  se  
ki  magadh  ki  wyawastha  mein  
dakhal  na  paD  jaye  
magadh  mein  wyawastha  rahni  hi  chahiye  
magadh  mein  na  rahi  
to  kahan  rahegi?  
kya  kahenge  log?  
logon  ka  kya?  
log  to  ye  bhi  kahte  hain  
magadh  ab  kahne  ko  magadh  hai,  
koi  tokta  tak  nahin  
is  Dar  se  
ki  magadh  mein  
tokne  ka  riwaj  na  ban  jaye  
ek  bar  shuru  hone  par  
kahin  nahin  rukta  hastakshaep  
waise  to  magadhwasiyon  
kitna  bhi  katrao  
tum  bach  nahin  sakte  hastakshaep  se  
jab  koi  nahin  karta  
tab  nagar  ke  beech  se  guzarta  hua  
murda  
ye  parashn  kar  hastakshaep  karta  hai  
manushya  kyon  marta  hai?  
 
             
        
        
            
            
            
                Videos This video is playing from YouTube  
                
                
             
            
                    
                         
                        श्रीकांत वर्मा 
                          
                     
             
         
        
        
    
 
    
        स्रोत : 
                
                        पुस्तक  : अंतरा (भाग-1) (पृष्ठ 148) 
                                                                    रचनाकार  : श्रीकांत वर्मा  
                                            
                             प्रकाशन  : एन सी ई आर टी
                         
                                                संस्करण   : 2022 
                 
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.