उँगलियों ने अब
छू कर पहचान लेने की क्षमता खो दी है
वे नहीं जानतीं—
जीवित और मृत
देहों के तापमान का फ़र्क़
एक अदृश्य छुअन
घर बनाती है भीतर—
कसती हुई
दिल की धड़कन अब
फड़फड़ाहट में बदल चुकी है
वह भूल चुका है कि
किसी को बाँहों में भरने पर
कितना तेज़ भागना होता है
कितनी देर के लिए थमना
अब धड़कने पल-पल चोट करती हैं
आँखों ने सुंदरता
देखने का हुनर खो दिया है
अब वे गुलाब को ख़ून समझती हैं
चिड़ियों को मौत का संदेशा
धूप को एक शून्य
उन्हें अँधेरे में सुख मिलता है
वे अब चाहती हैं कि
बारिश का रंग भी काला ही रहे
भीतर एक ज़िंदगी रहती थी
वह निकलकर जा चुकी है कहीं
किसी क़ब्र में
वापस आने के लिए
पैरों ने अपने हाथ खड़े कर दिए हैं
क़लम से ख़ून रिसने लगा है
एक नीली कविता
अब लाल है।
ungliyon ne ab
chhu kar pahchan lene ki kshamata kho di hai
we nahin jantin—
jiwit aur mrit
dehon ke tapaman ka farq
ek adrshy chhuan
ghar banati hai bhitar—
kasti hui
dil ki dhaDkan ab
phaDphaDahat mein badal chuki hai
wo bhool chuka hai ki
kisi ko banhon mein bharne par
kitna tez bhagna hota hai
kitni der ke liye thamna
ab dhaDakne pal pal chot karti hain
ankhon ne sundarta
dekhne ka hunar kho diya hai
ab we gulab ko khoon samajhti hain
chiDiyon ko maut ka sandesha
dhoop ko ek shunya
unhen andhere mein sukh milta hai
we ab chahti hain ki
barish ka rang bhi kala hi rahe
bhitar ek zindagi rahti thi
wo nikalkar ja chuki hai kahin
kisi qabr mein
wapas aane ke liye
pairon ne apne hath khaDe kar diye hain
qalam se khoon risne laga hai
ek nili kawita
ab lal hai
ungliyon ne ab
chhu kar pahchan lene ki kshamata kho di hai
we nahin jantin—
jiwit aur mrit
dehon ke tapaman ka farq
ek adrshy chhuan
ghar banati hai bhitar—
kasti hui
dil ki dhaDkan ab
phaDphaDahat mein badal chuki hai
wo bhool chuka hai ki
kisi ko banhon mein bharne par
kitna tez bhagna hota hai
kitni der ke liye thamna
ab dhaDakne pal pal chot karti hain
ankhon ne sundarta
dekhne ka hunar kho diya hai
ab we gulab ko khoon samajhti hain
chiDiyon ko maut ka sandesha
dhoop ko ek shunya
unhen andhere mein sukh milta hai
we ab chahti hain ki
barish ka rang bhi kala hi rahe
bhitar ek zindagi rahti thi
wo nikalkar ja chuki hai kahin
kisi qabr mein
wapas aane ke liye
pairon ne apne hath khaDe kar diye hain
qalam se khoon risne laga hai
ek nili kawita
ab lal hai
स्रोत :
रचनाकार : मुदित श्रीवास्तव
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.