मैं उसे प्यार करता
यदि वह
ख़ुद वह होती
मैं अपना हृदय खोल देता
यदि वह
अपने भीतर खुल जाती
मैं उसे छूता
यदि वह देह होती
और मेरे हाथ होते मेरे भाव!
मैं उसे प्यार करता
यदि मैं पत्ता या हवा होता
या मैं ख़ुद को नहीं जानता
मैं जब डूब रहा था
वह उभर रही थी
जिस पल उसकी झलक दिखी
मैं कभी-कभी डूब रहा हूँ
वह अभी-अभी अपने भीतर उभर रही है
मैं उसे प्यार करता
यदि वह जानती
मैं ख़ामोशी की लय में अकेला उसे प्यार करता हूँ
प्यार के बहुत चेहरे हैं।
main use pyar karta
yadi wo
khu wo hoti
main apna hirdai khol deta
yadi wo
apne bhitar khul jati
main use chhuta
yadi wo deh hoti
aur mere hath hote mere bhaw!
main use pyar karta
yadi main patta ya hawa hota
ya main khu ko nahin janta
main jab Doob raha tha
wo ubhar rahi thi
jis pal uski jhalak dikhi
main kabhi kabhi Doob raha hoon
wo abhi abhi apne bhitar ubhar rahi hai
main use pyar karta
yadi wo janti
main khamoshi ki lai mein akela use pyar karta hoon
pyar ke bahut chehre hain
main use pyar karta
yadi wo
khu wo hoti
main apna hirdai khol deta
yadi wo
apne bhitar khul jati
main use chhuta
yadi wo deh hoti
aur mere hath hote mere bhaw!
main use pyar karta
yadi main patta ya hawa hota
ya main khu ko nahin janta
main jab Doob raha tha
wo ubhar rahi thi
jis pal uski jhalak dikhi
main kabhi kabhi Doob raha hoon
wo abhi abhi apne bhitar ubhar rahi hai
main use pyar karta
yadi wo janti
main khamoshi ki lai mein akela use pyar karta hoon
pyar ke bahut chehre hain
Videos This video is playing from YouTube
अनुभव
स्रोत :
पुस्तक : जब ख़ुद नहीं था (पृष्ठ 37)
रचनाकार : नवीन सागर
प्रकाशन : कवि प्रकाशन
संस्करण : 2001
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.