1 mool kawita mein ‘sut’ shabd prayukt hua hai, kyonki tamil kawy parampara ke anusar nar kokil hi kukta hai anuwad mein hindi kawy parampara ki drishti se ye pariwartan uchit samjha gaya
mainne koel ko pakaDkar pinjDe mein band kiya,
to usne kukna chhoD diya, koel ne
bolna chhoD diya
pinjDa kholkar use jangal mein chhoDa, to
kukne lagi koel, mithi tan
chheDne lagi koel
pinjDe ke andar band rahi, to
nahin bolegi, kya? han ri, koel,
bachche ki bhanti tujhe palu, to
nahin kukegi, kya?
koel ka uttar
meri kahani jo bhi sunega,
uski ankhen bhar ayengi
samajhte nahin ho tum, tabhi to (mere geet ka)
madhumay tan kaha karte ho
log kahte hain kamal talab wali koel
mujhe janamne wali man thi
am ke peD wale kokil the use
warne wale patidew
phool se lada peD dekhte hi
donon unmatt hue phirte
kamdew ke anuchar the wo
sada sarwada, jiwan bhar
Dali par kompal dekh len, to
chonch lagate, gate the
talab mein khile kamlon par
phudak phudak kar kukte the
prem wyom mein uDte the we,
mod wari mein tairte the
nadi mein baDh i dekhkar
tane chheDa karte the
amaltas ke phool khilen, to
kokil dway ja base wahin
punnag ki kaliyan niklin, to
pancham swar mein we kukne lage
nariyal ke patton par baithkar
donon jhula jhulte the
madhumay tan sunate the we,
jise dewta sunte the
din bhar gana aur nachna,
sanjh hui to pranay milan
gane wale logon ki to
parampragat writti hai ye
arjan karna aur joDna,
bilkul nahin jante the we
neeD banane ki unko sujhi hi nahin,
we to rati keliyon mein mast rahe itne mein
pranay sukh ke paudhe mein phal laga
meri man ke garbh raha
pachhwa hawa mein thithurti kanpti,
mil julkar baten karte jhijakti!
premi bhi ab kanakhiyon se
auron ki or laga jhankne!
tab meri man khinn hirdai se
kosne lagi mujhe
anDa dene ki pratha puri kar,
pairon se use utha le gai aur
kaue ke neeD mein chhoDkar
bhag gai wo priytam ke pichhe
anDa dene ke baad kisi bail ki
peeth par ja baithi nishchint ho,
aur shahr sab par karke
uD gai na jane kahan?
man ki mamta tuk thi usmen
tabhi to mujhe zamin par nahin patka
phir bhi priy ke moh ke aage
main shayad naganya ho gai?
kaue ke neeD mein
babul ki chhatri ke bhitar,
sabse upar ki Dali par,
kauwi baithi anDe seti,
kaua chara khojne jata
bheDon ke jhunD ke rakhwale kutte ki tarah,
cheekh uthti kauwi, koi cheel aaye, to,
tatkal jhapatkar aata kaua,
sena ke weer ki bhanti
jiwanau baDha aur roop bana,
wichar baDha aur chitt bana
ab andar raha nahin gaya,
prithwi par aane ka samay aa gaya
sent met mein sene wali
mata kauwi ke parsad se,
bachche ke roop mein prakat hui main,
hay, yatana sahne ko
“bachche nikle, dekho to,”
boli kauwi, pyar bhari,
chonch lagakar dhire se
sahlaya kauwe ne hamko
panch hi the kaue ke bachche,
chhathi thi main, par unhen pata na tha!
sabko apne bachche mankar
pyar se pala donon ne
jane meri kismat thi,
ya phir man ka pap tha,
ek din main chonch kholkar
bol paDi, bus, phans gai
apna bachcha samajh mujhe,
apne hathon pal pos kar,
khilane pilane wali dai
marne dauDi mujhe tabhi
(baat ye thi ki ek din)
chare ke liye gaye the donon,
raat hone tak nahin laute
tab sab bachche cheekh uthe, to
main bhi jor se ro paDi!
hay widhata! kyon roi main?
shayad wo surili tan lagi
sunti sunti i kauwi,
mujhe neeD se gira diya aur
chonch mar markar bhagane lagi,
bachcha mankar tanik daya na ki
jab dekha apna nahin, to
bhagane lagi wo mujhe phir phirkar
ganw ke sare kaue milkar
lapke mujh niःsahay gharib par!
kuch kahne ko munh kholun to
jhapat jhapatkar maren chonch!
bhay tha unhen ki sab bachchon ko
apna swar na kahin de Dalun!
bhay tha unhen ki pancham swar mein
kaue bhi na kukne lag jayen
“chhal rachkar neeD ke andar
ghusne wala chor hai ye,
anDe se hi chor,” kah mujhe
chonchon se marte sab
janamne wali man ne mujhe
nirmamta se tyag diya
palne wali dhatri ne to
mar koskar bhaga diya
kasur to mainne kuch bhi nahin kiya,
siway iske ki koel paida hui
suno narottam! anath hokar
bhatak rahi hoon jag bhar mein
kis ganw mein, kis desh mein,
kahan kahan DhunDhungi main?
sutan ko yon tarsane wali
man se kabhi milungi main?
isi wyatha se pukarti hoon,
tum kahte ho, sumdhur tan
wilakshan hai ye, itna kahkar
uD gai koel, tezi se
1 mool kawita mein ‘sut’ shabd prayukt hua hai, kyonki tamil kawy parampara ke anusar nar kokil hi kukta hai anuwad mein hindi kawy parampara ki drishti se ye pariwartan uchit samjha gaya
हिंदी क्षेत्र की भाषाओं-बोलियों का व्यापक शब्दकोश : हिन्दवी डिक्शनरी
‘हिन्दवी डिक्शनरी’ हिंदी और हिंदी क्षेत्र की भाषाओं-बोलियों के शब्दों का व्यापक संग्रह है। इसमें अंगिका, अवधी, कन्नौजी, कुमाउँनी, गढ़वाली, बघेली, बज्जिका, बुंदेली, ब्रज, भोजपुरी, मगही, मैथिली और मालवी शामिल हैं। इस शब्दकोश में शब्दों के विस्तृत अर्थ, पर्यायवाची, विलोम, कहावतें और मुहावरे उपलब्ध हैं।
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
OKAY
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
Close
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.
OKAY
You have remaining out of free content pages per year.Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.
join rekhta family!
You have exhausted 5 free content pages per year. Register and enjoy UNLIMITED access to the whole universe of Urdu Poetry, Rare Books, Language Learning, Sufi Mysticism, and more.