चाबियों को याद करते हैं ताले
दरवाज़ों पर लटके हुए...
चाबियाँ घूम आती हैं
मोहल्ला, शहर या कभी-कभी पूरा देस
बीतता है दिन, हफ़्ता, महीना या बरस
और ताले रास्ता देखते हैं।
कभी नहीं भी लौट पाती
कोई चाबी
वो जेब या बटुए के
चोर रास्तों से
निकल भागती है
रास्ते में गिर,
धूल में खो जाती है
या बस जाती है
अनजान जगहों पर।
तब कोई दूसरी चाबी
भेजी जाती है ताले के पास
उसी रूप की
पर ताले अपनी चाबी की
अस्ति को पहचानते हैं
वे दूसरी चाबी से नहीं खुलते।
ताले धमकाए जाते हैं,
झिंझोड़े जाते हैं,
हुमसाए जाते हैं औज़ारों से,
वे मंज़ूर करते हैं मार खाना
दरकना फिर टूट जाना
लटके हुए तालों को कभी
बीत जाते हैं बरसों-बरस
और वे पथरा जाते हैं
जब उनकी चाबी
आती है लौटकर
पहचान जाते हैं वे
खुलने के लिए भीतर से
कसमसाते हैं
पर नहीं खुल पाते,
फिर भीगते हैं बहुत देर
स्नेह की बूँदों में
और सहसा खुलते जाते हैं
उनके भीतरी किवाड़
चाबी रेंगती है उनकी देह में
और ताले खिलखिला उठते हैं।
ताले चाबियों के साथ
रहना चाहते हैं
वो हाथों से,
दरवाज़े की कुंडी पकड़
लटके नहीं रहना चाहते
वे अकेलेपन और ऊब की दुनिया के बाहर
खुलना चाहते हैं
चाबियों को याद करते हैं ताले
वे रास्ता देखते हैं।
chabiyon ko yaad karte hain tale
darwazon par latke hue
chabiyan ghoom aati hain
mohalla, shahr ya kabhi kabhi pura des
bitta hai din, hafta, mahina ya baras
aur tale rasta dekhte hain
kabhi nahin bhi laut pati
koi chabi
wo jeb ya batue ke
chor raston se
nikal bhagti hai
raste mein gir,
dhool mein kho jati hai
ya bus jati hai
anjan jaghon par
tab koi dusri chabi
bheji jati hai tale ke pas
usi roop ki
par tale apni chabi ki
asti ko pahchante hain
we dusri chabi se nahin khulte
tale dhamkaye jate hain,
jhinjhoDe jate hain,
humsaye jate hain auzaron se,
we manzur karte hain mar khana
darakna phir toot jana
latke hue talon ko kabhi
beet jate hain barson baras
aur we pathra jate hain
jab unki chabi
ati hai lautkar
pahchan jate hain we
khulne ke liye bhitar se
kasmasate hain
par nahin khul pate,
phir bhigte hain bahut der
sneh ki bundon mein
aur sahsa khulte jate hain
unke bhitari kiwaD
chabi rengti hai unki deh mein
aur tale khilkhila uthte hain
tale chabiyon ke sath
rahna chahte hain
wo hathon se,
darwaze ki kunDi pakaD
latke nahin rahna chahte
we akelepan aur ub ki duniya ke bahar
khulna chahte hain
chabiyon ko yaad karte hain tale
we rasta dekhte hain
chabiyon ko yaad karte hain tale
darwazon par latke hue
chabiyan ghoom aati hain
mohalla, shahr ya kabhi kabhi pura des
bitta hai din, hafta, mahina ya baras
aur tale rasta dekhte hain
kabhi nahin bhi laut pati
koi chabi
wo jeb ya batue ke
chor raston se
nikal bhagti hai
raste mein gir,
dhool mein kho jati hai
ya bus jati hai
anjan jaghon par
tab koi dusri chabi
bheji jati hai tale ke pas
usi roop ki
par tale apni chabi ki
asti ko pahchante hain
we dusri chabi se nahin khulte
tale dhamkaye jate hain,
jhinjhoDe jate hain,
humsaye jate hain auzaron se,
we manzur karte hain mar khana
darakna phir toot jana
latke hue talon ko kabhi
beet jate hain barson baras
aur we pathra jate hain
jab unki chabi
ati hai lautkar
pahchan jate hain we
khulne ke liye bhitar se
kasmasate hain
par nahin khul pate,
phir bhigte hain bahut der
sneh ki bundon mein
aur sahsa khulte jate hain
unke bhitari kiwaD
chabi rengti hai unki deh mein
aur tale khilkhila uthte hain
tale chabiyon ke sath
rahna chahte hain
wo hathon se,
darwaze ki kunDi pakaD
latke nahin rahna chahte
we akelepan aur ub ki duniya ke bahar
khulna chahte hain
chabiyon ko yaad karte hain tale
we rasta dekhte hain
स्रोत :
रचनाकार : विवेक चतुर्वेदी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.