एक भीषण गर्मी के रोज़
मैं ताड़ के हाथ पंखों के लिए
हाट में निकला
उस साप्ताहिक हाट में
क़स्बाई जीवन के लायक़ सारे सामान थे
मैं कई सालों के बाद इन पंखों के लिए हाट में निकला था
मेरा कुर्ता भीग रहा था
हद थी, जो दुमका की सड़कों पर,
काँख में दबाए इन पंखों के लिए आवाज़ें भरते,
गली कूचों में भी अक्सरहा नज़र आते थे, नहीं दिखे
लगातार बिजली की कटौती वाले इस क़स्बाई शहर में
इस मौसम को कैसे झेल रहे हैं लोग
क्या उन्हें हवा नहीं चाहिए?
मैं बे-बात झुँझला रहा था
अगर कोई मुझसे इस समय मुँह लगता
तो यक़ीनन मैं उस की ऐसी-तैसी कर डालता
मुझे ताड़ के पंखे चाहिए—
पंखे चाहिए मुझे ताड़ के—
सुनिए, सुनिए, भाई साहब!
ताड़ के पंखे बेचती कोई स्त्री
कोई बच्चा दिखा आपको?
हाट से निकलकर
मैं इस छोटे-से शहर की जिस भी
दुकान के सामने से गुज़रा,
वहाँ सामने टँगे दिखे प्लास्टिक के छोटे-छोटे हाथ पंखे
एक मारवाड़ी दुकानदार ने इन प्लास्टिक पंखों की
जिस तरह से वकालत की,
वह मुझे भयानक रूप से अश्लील लगी
मैं भीतर से चिल्लाया—
सालों—
प्लास्टिक खाओगे एक दिन!
और थककर हाँफने लगा
आह! कितने समर्थ और अराजक तरीक़े से
प्लास्टिक हमारे जीवन में आ गया देखते-देखते!
ताड़ के असंख्य पेड़ हैं हमारे इलाक़े में
और कम आमदनी वाले तमाम शराबी!
क्या ताड़ के पेड़ इन्हीं के बदौलत बचे हैं?
आपने ग़ौर किया है,
ताड़ के पंखे कितने हल्के होते हैं और कितने सस्ते!
हवा और पत्ता!
इस तरह से देखिए तो इन चीज़ों के प्रति
एक रागात्मक भाव मन में पैदा होगा
मैंने तो बचपन में ताड़ के पंखों पर
रंगों की नक़्क़ाशी देखी है,
वह स्मृति अद्भुत है!
आज ताड़ के पंखों के लिए भटकने के
अपने अनुभव से मैं हैरान हूँ
एक भय की अनुभूति से भरा हूँ
कि मेरा यह प्यारा शहर
मेरे सामने ही कितना बदल गया!
मेरे पूर्वजों ने जिन्होंने ताड़ के हज़ारों पेड़ लगाए
क्या सोचा होगा कभी
कि एक दिन उन्हीं का ख़ून
इधर-उधर भटकेगा
वह भी ताड़ के पंखों के लिए!!
ek bhishan garmi ke roz
main taD ke hath pankhon ke liye
hat mein nikla
us saptahik hat mein
qasbai jiwan ke layaq sare saman the
main kai salon ke baad in pankhon ke liye hat mein nikla tha
mera kurta bheeg raha tha
had thi, jo dumka ki saDkon par,
kankh mein dabaye in pankhon ke liye awazen bharte,
gali kuchon mein bhi aksarha nazar aate the, nahin dikhe
lagatar bijli ki katauti wale is qasbai shahr mein
is mausam ko kaise jhel rahe hain log
kya unhen hawa nahin chahiye?
main be baat jhunjhla raha tha
agar koi mujhse is samay munh lagta
to yaqinan main us ki aisi taisi kar Dalta
mujhe taD ke pankhe chahiye—
pankhe chahiye mujhe taD ke—
suniye, suniye, bhai sahab!
taD ke pankhe bechti koi istri
koi bachcha dikha apko?
hat se nikalkar
main is chhote se shahr ki jis bhi
dukan ke samne se guzra,
wahan samne tange dikhe plastic ke chhote chhote hath pankhe
ek marawaDi dukandar ne in plastic pankhon ki
jis tarah se wakalat ki,
wo mujhe bhayanak roop se ashlil lagi
main bhitar se chillaya—
salon—
plastic khaoge ek din!
aur thakkar hanphane laga
ah! kitne samarth aur arajak tariqe se
plastic hamare jiwan mein aa gaya dekhte dekhte!
taD ke asankhya peD hain hamare ilaqe mein
aur kam amdani wale tamam sharabi!
kya taD ke peD inhin ke badaulat bache hain?
apne ghaur kiya hai,
taD ke pankhe kitne halke hote hain aur kitne saste!
hawa aur patta!
is tarah se dekhiye to in chizon ke prati
ek ragatmak bhaw man mein paida hoga
mainne to bachpan mein taD ke pankhon par
rangon ki naqqashi dekhi hai,
wo smriti adbhut hai!
aj taD ke pankhon ke liye bhatakne ke
apne anubhaw se main hairan hoon
ek bhay ki anubhuti se bhara hoon
ki mera ye pyara shahr
mere samne hi kitna badal gaya!
mere purwjon ne jinhonne taD ke hazaron peD lagaye
kya socha hoga kabhi
ki ek din unhin ka khoon
idhar udhar bhatkega
wo bhi taD ke pankhon ke liye!!
ek bhishan garmi ke roz
main taD ke hath pankhon ke liye
hat mein nikla
us saptahik hat mein
qasbai jiwan ke layaq sare saman the
main kai salon ke baad in pankhon ke liye hat mein nikla tha
mera kurta bheeg raha tha
had thi, jo dumka ki saDkon par,
kankh mein dabaye in pankhon ke liye awazen bharte,
gali kuchon mein bhi aksarha nazar aate the, nahin dikhe
lagatar bijli ki katauti wale is qasbai shahr mein
is mausam ko kaise jhel rahe hain log
kya unhen hawa nahin chahiye?
main be baat jhunjhla raha tha
agar koi mujhse is samay munh lagta
to yaqinan main us ki aisi taisi kar Dalta
mujhe taD ke pankhe chahiye—
pankhe chahiye mujhe taD ke—
suniye, suniye, bhai sahab!
taD ke pankhe bechti koi istri
koi bachcha dikha apko?
hat se nikalkar
main is chhote se shahr ki jis bhi
dukan ke samne se guzra,
wahan samne tange dikhe plastic ke chhote chhote hath pankhe
ek marawaDi dukandar ne in plastic pankhon ki
jis tarah se wakalat ki,
wo mujhe bhayanak roop se ashlil lagi
main bhitar se chillaya—
salon—
plastic khaoge ek din!
aur thakkar hanphane laga
ah! kitne samarth aur arajak tariqe se
plastic hamare jiwan mein aa gaya dekhte dekhte!
taD ke asankhya peD hain hamare ilaqe mein
aur kam amdani wale tamam sharabi!
kya taD ke peD inhin ke badaulat bache hain?
apne ghaur kiya hai,
taD ke pankhe kitne halke hote hain aur kitne saste!
hawa aur patta!
is tarah se dekhiye to in chizon ke prati
ek ragatmak bhaw man mein paida hoga
mainne to bachpan mein taD ke pankhon par
rangon ki naqqashi dekhi hai,
wo smriti adbhut hai!
aj taD ke pankhon ke liye bhatakne ke
apne anubhaw se main hairan hoon
ek bhay ki anubhuti se bhara hoon
ki mera ye pyara shahr
mere samne hi kitna badal gaya!
mere purwjon ne jinhonne taD ke hazaron peD lagaye
kya socha hoga kabhi
ki ek din unhin ka khoon
idhar udhar bhatkega
wo bhi taD ke pankhon ke liye!!
स्रोत :
रचनाकार : विनय सौरभ
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.