उस दिन सूरज यूँ निकला कि लगा न ही निकलता तो बेहतर था
उससे एक रात पहले रात यूँ गुज़री कि लगा रात न ही गुज़रती तो बेहतर थी
कितना कुछ रह गया जो न मैंने तुमसे कहा न तुमने मुझसे
तुम चले गए क्षितिज पर दौड़ते सात घोड़ों के रथ पर सवार होकर
मैं एक ख़्वाब बुनता रह गया रात के चमकीले धागों से जड़ा
उस रात और दिन के बीच जीवन कुछ यूँ ठहरा
जैसे सातों नदियों और सातों समुद्रों का जल जम गया हो
और सब पिघलाता अगले दिन का सूरज कुछ यूँ निकला
कि लगा न निकलता तो बेहतर था।
us din suraj yoon nikla ki laga na hi nikalta to behtar tha
usse ek raat pahle raat yoon guzri ki laga raat na hi guzarti to behtar thi
kitna kuch rah gaya jo na mainne tumse kaha na tumne mujhse
tum chale gaye kshaitij par dauDte sat ghoDon ke rath par sawar hokar
main ek khwab bunta rah gaya raat ke chamkile dhagon se jaDa
us raat aur din ke beech jiwan kuch yoon thahra
jaise saton nadiyon aur saton samudron ka jal jam gaya ho
aur sab pighlata agle din ka suraj kuch yoon nikla
ki laga na nikalta to behtar tha

स्रोत :
रचनाकार : योगेंद्र गौतम
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.