सफल आदमी के चेहरे पर
उसकी उम्र की जगह लिखा होता है
सफल आदमी
वह नायक बनकर निकलता है अपने बचपन से
और याद करता है उन्हें
जो पड़े रह गए वहीं के वहीं
कि एक वही निकल पाया ऊपर
केवल अपने बलबूते पर
वह अक्सर सोचता है उन चीज़ों के बारे में
जिन्हें होना चाहिए था केवल उसके जीवन में
वह उस दौड़ में कभी शामिल नहीं होता
जहाँ पराजय का सुख होता है
सफल आदमी में इतनी प्रतिभा होती है
कि वह चाहता तो जो वह है
उसके अलावा
कुछ और भी हो सकता था
लेकिन वह ऐसा कुछ नहीं होता
वह केवल एक सफल आदमी होता है
सफल आदमी के बारे में
हम सब कुछ जानते हैं
केवल उसका दुख नहीं जान पाते।
saphal adami ke chehre par
uski umr ki jagah likha hota hai
saphal adami
wo nayak bankar nikalta hai apne bachpan se
aur yaad karta hai unhen
jo paDe rah gaye wahin ke wahin
ki ek wahi nikal paya upar
kewal apne balbute par
wo aksar sochta hai un chizon ke bare mein
jinhen hona chahiye tha kewal uske jiwan mein
wo us dauD mein kabhi shamil nahin hota
jahan parajay ka sukh hota hai
saphal adami mein itni pratibha hoti hai
ki wo chahta to jo wo hai
uske alawa
kuch aur bhi ho sakta tha
lekin wo aisa kuch nahin hota
wo kewal ek saphal adami hota hai
saphal adami ke bare mein
hum sab kuch jante hain
kewal uska dukh nahin jaan pate
saphal adami ke chehre par
uski umr ki jagah likha hota hai
saphal adami
wo nayak bankar nikalta hai apne bachpan se
aur yaad karta hai unhen
jo paDe rah gaye wahin ke wahin
ki ek wahi nikal paya upar
kewal apne balbute par
wo aksar sochta hai un chizon ke bare mein
jinhen hona chahiye tha kewal uske jiwan mein
wo us dauD mein kabhi shamil nahin hota
jahan parajay ka sukh hota hai
saphal adami mein itni pratibha hoti hai
ki wo chahta to jo wo hai
uske alawa
kuch aur bhi ho sakta tha
lekin wo aisa kuch nahin hota
wo kewal ek saphal adami hota hai
saphal adami ke bare mein
hum sab kuch jante hain
kewal uska dukh nahin jaan pate
स्रोत :
पुस्तक : निर्वाचित कविताएँ (पृष्ठ 115)
रचनाकार : भगवत रावत
प्रकाशन : इतिहासबोध प्रकाशन
संस्करण : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.