हम तो उचकी हुई कील भी नहीं थे
फिर न जाने क्यों हर बार हथौड़ा हमारे ही सिर पड़ा
हम साँस भी इतने आहिस्ते लेते थे
कि किसी भगवान, किसी ख़ुदा की
नींद में कोई ख़लल न पड़े
करवट बदलते हुए हमेशा ध्यान रहा कि
चादर पर सिलवट भी न पड़ने पाए
भूख भर रोटी नहीं माँगी
स्वप्न भर नींद भी नहीं
प्यास भर पानी
और ज़रूरत भर बारिश के लिए भी ज़िद नहीं की
चादर के सिकुड़ने की शिकायत नहीं की
बस पैर ही समेटते रहे
पेट पर हाथ रख कर
आरती गाते थे हम
कि पूर्वजन्म का पाप है हमारी भूख
एक दिन अपनी तरफ़ से भूखे रहते
छह दिन न जाने किसकी तरफ़ से
अपनी तरफ़ की भूख को व्रत कहते
और बाक़ी भूख को क़िस्मत
व्रत से क़िस्मत सुधारते हम बेशऊर कारीगर थे
हम जीवित रहने के लिए मरने को तैयार थे
रेंगना जीने के लिए कम पड़ रहा था
हमने जुलूसों में अपने आपको इत्यादि तक सीमित रखा
पर गोली हमें ही लगी
जब दंगे हुए शहर में हम काम से लौट रहे थे
ठेले पर अंडे बेच रहे थे
सब्ज़ी की रेहड़ी लगाए हुए थे
टपरी पर चाय बना रहे थे
रिक्शा चला रहे थे
पर हम ही मारे गए
जबकि जीने के लिए हम मरने को तैयार थे
हमारे बच्चे तलवार की नोंक पर रख दिए गए
हमारी औरतों का पेट चीरा गया
घर जला दिए गए
गाँव लूट लिए गए
पर हर बार हम काम पर लौटे
काम से लौटने के लिए
हम कभी अलग से नहीं दिखे
हर बार संख्याओं की तरह शामिल थे भीड़ में
मृतकों की संख्या की तरह
बेरोज़गारों की संख्या की तरह
भूखमरी के शिकारों की संख्या की तरह
बाढ़ और सूखा पीड़ितों की संख्या की तरह
आत्महत्याओं की संख्या की तरह
वोटों की संख्या की तरह भी
और चोटों की संख्या की तरह भी
एकलव्य के देश में उँगली कट जाने की घटना
लोकतंत्र के पर्व की तरह मनाई जाती रही
और कहा गया जो जीवन और मृत्यु में
अपनी इच्छा से जीवन भी नहीं चुन सकते
वे देश की सरकार चुन रहे हैं
हमारे पास चुनने का अधिकार नहीं था
चुनने का भ्रम भर था
जबकि चुन रहे थे गिद्ध
रह रह कर हमारी देह
चुन रहे थे दीवारें
चुन रहे थे हमें
चुपचाप मर जाने के लिए
ये चुनाव-पर्व की तरह मनाए जाते
जबकि रोना था छाती पीट कर
कि चुन लिए गए हम शिकार के लिए
कि चुन दिए गए हम दीवार में
हम असंपादित कविता की तरह
संकलनों से बाहर रहे
बेपता चिट्ठी की तरह भटकते रहे
व्याकरण के दोष से भरे वाक्य की तरह
तिरिस्कृत रहे
किसी तरल स्वप्न की तरह
विस्मृत रहे
जबकि होना यह चाहिए था
कि राजा की गर्दन पकड़ कर लटक जाएँ हम
ताबीज़ की तरह नहीं
फाँसी के फंदे की तरह
उसके पाँव से लिपट जाए
बिलखती हथेलियों की तरह नहीं
कँटीली झाड़ियों की तरह
हम याद करें कोई भूली हुई बात
और छलाँग लगा कर सागर पार कर जाएँ
पत्थरों पर अपनी इच्छाएँ लिखें
और वे तैरने लगें पानी में
हम भूख का एक पुल बनाएँ
और रोटी तक निकल जाएँ,
सिर ताने हुए शान से
अपने नुकीले हाथों से चीर दें सिंहासन
और अपना नाम लेकर बताएँ
कि ज़रूरी है एक एक आदमी
उसकी ज़िंदगी और मौत
उसके सपने और नींद
उसकी बारिश और उसकी धूप
हम अपने गाँवों से निकलें
हमने शहरों, अपने घरों से
और राजधानी में जाकर कहें
कि देश सिर्फ़ राजधानी नहीं होता
हम पगलाए हुए से दौड़ें इधर-उधर
और सारी सरहदें टूट कर बिखर जाएँ
द्रोणाचार्यों से कहें कि एकलव्य की नींद टूट गई है
उसने उँगली कटाने से मना कर दिया है
वह अपने अँगूठे को बचाने के लिए जान भी दे सकता है
महल की दीवारों पर अपने ख़ून से लिख दें
आटा-दाल-चावल का भाव
और अपने पसीने के पैर छू कर वचन दें उसे
कि कोई नहीं कर सकेगा उसका अपमान
पर अफ़सोस, बेहद अफ़सोस
कि सिर्फ़ जीने के लिए जीते रहे
कल देखने की इच्छा में गर्दन तक धँसे हम
आज सब कुछ सह सकते थे
वह सब कुछ जो जान भी ले सकता था
वह सब कुछ जो एक मनुष्य को कभी नहीं सहना चाहिए
हम जीने के लिए इतने तरल हुए
इतने सरल हुए
कि जीने के लिए मर भी सकते थे हम
रेंगना कम पड़ रहा था जीने के लिए।
hum to uchki hui keel bhi nahin the
phir na jane kyon har bar hathauDa hamare hi sir paDa
hum sans bhi itne ahiste lete the
ki kisi bhagwan, kisi khuda ki
neend mein koi khalal na paDe
karwat badalte hue hamesha dhyan raha ki
chadar par silwat bhi na paDne pae
bhookh bhar roti nahin mangi
swapn bhar neend bhi nahin
pyas bhar pani
aur zarurat bhar barish ke liye bhi zid nahin ki
chadar ke sikuDne ki shikayat nahin ki
bus pair hi samette rahe
pet par hath rakh kar
arti gate the hum
ki purwajanm ka pap hai hamari bhookh
ek din apni taraf se bhukhe rahte
chhah din na jane kiski taraf se
apni taraf ki bhookh ko wart kahte
aur baqi bhookh ko qimat
wart se qimat sudharte hum beshaur karigar the
hum jiwit rahne ke liye marne ko taiyar the
rengna jine ke liye kam paD raha tha
hamne juluson mein apne aapko ityadi tak simit rakha
par goli hamein hi lagi
jab dange hue shahr mein hum kaam se laut rahe the
thele par anDe bech rahe the
sabzi ki rehDi lagaye hue the
tapri par chay bana rahe the
rickshaw chala rahe the
par hum hi mare gaye
jabki jine ke liye hum marne ko taiyar the
hamare bachche talwar ki nonk par rakh diye gaye
hamari aurton ka pet chira gaya
ghar jala diye gaye
ganw loot liye gaye
par har bar hum kaam par laute
kaam se lautne ke liye
hum kabhi alag se nahin dikhe
har bar sankhyaon ki tarah shamil the bheeD mein
mritkon ki sankhya ki tarah
berozgaron ki sankhya ki tarah
bhukhamri ke shikaron ki sankhya ki tarah
baDh aur sukha piDiton ki sankhya ki tarah
atmhatyaon ki sankhya ki tarah
woton ki sankhya ki tarah bhi
aur choton ki sankhya ki tarah bhi
eklawy ke desh mein ungli kat jane ki ghatna
loktantr ke parw ki tarah manai jati rahi
aur kaha gaya jo jiwan aur mirtyu mein
apni ichha se jiwan bhi nahin chun sakte
we desh ki sarkar chun rahe hain
hamare pas chunne ka adhikar nahin tha
chunne ka bhram bhar tha
jabki chun rahe the giddh
rah rah kar hamari deh
chun rahe the diwaren
chun rahe the hamein
chupchap mar jane ke liye
ye chunaw parw ki tarah manaye jate
jabki rona tha chhati peet kar
ki chun liye gaye hum shikar ke liye
ki chun diye gaye hum diwar mein
hum asampadit kawita ki tarah
sankalnon se bahar rahe
bepta chitthi ki tarah bhatakte rahe
wyakaran ke dosh se bhare waky ki tarah
tiriskrit rahe
kisi taral swapn ki tarah
wismrit rahe
jabki hona ye chahiye tha
ki raja ki gardan pakaD kar latak jayen hum
tabiz ki tarah nahin
phansi ke phande ki tarah
uske panw se lipat jaye
bilakhti hatheliyon ki tarah nahin
kantili jhaDiyon ki tarah
hum yaad karen koi bhuli hui baat
aur chhalang laga kar sagar par kar jayen
patthron par apni ichhayen likhen
aur we tairne lagen pani mein
hum bhookh ka ek pul banayen
aur roti tak nikal jayen,
sir tane hue shan se
apne nukile hathon se cheer den sinhasan
aur apna nam lekar batayen
ki zaruri hai ek ek adami
uski zindagi aur maut
uske sapne aur neend
uski barish aur uski dhoop
hum apne ganwon se niklen
hamne shahron, apne gharon se
aur rajdhani mein jakar kahen
ki desh sirf rajdhani nahin hota
hum paglaye hue se dauDen idhar udhar
aur sari sarahden toot kar bikhar jayen
dronacharyon se kahen ki eklawy ki neend toot gai hai
usne ungli katane se mana kar diya hai
wo apne anguthe ko bachane ke liye jaan bhi de sakta hai
mahl ki diwaron par apne khoon se likh den
ata dal chawal ka bhaw
aur apne pasine ke pair chhu kar wachan den use
ki koi nahin kar sakega uska apman
par afsos, behad afsos
ki sirf jine ke liye jite rahe
kal dekhne ki ichha mein gardan tak dhanse hum
aj sab kuch sah sakte the
wo sab kuch jo jaan bhi le sakta tha
wo sab kuch jo ek manushya ko kabhi nahin sahna chahiye
hum jine ke liye itne taral hue
itne saral hue
ki jine ke liye mar bhi sakte the hum
rengna kam paD raha tha jine ke liye
hum to uchki hui keel bhi nahin the
phir na jane kyon har bar hathauDa hamare hi sir paDa
hum sans bhi itne ahiste lete the
ki kisi bhagwan, kisi khuda ki
neend mein koi khalal na paDe
karwat badalte hue hamesha dhyan raha ki
chadar par silwat bhi na paDne pae
bhookh bhar roti nahin mangi
swapn bhar neend bhi nahin
pyas bhar pani
aur zarurat bhar barish ke liye bhi zid nahin ki
chadar ke sikuDne ki shikayat nahin ki
bus pair hi samette rahe
pet par hath rakh kar
arti gate the hum
ki purwajanm ka pap hai hamari bhookh
ek din apni taraf se bhukhe rahte
chhah din na jane kiski taraf se
apni taraf ki bhookh ko wart kahte
aur baqi bhookh ko qimat
wart se qimat sudharte hum beshaur karigar the
hum jiwit rahne ke liye marne ko taiyar the
rengna jine ke liye kam paD raha tha
hamne juluson mein apne aapko ityadi tak simit rakha
par goli hamein hi lagi
jab dange hue shahr mein hum kaam se laut rahe the
thele par anDe bech rahe the
sabzi ki rehDi lagaye hue the
tapri par chay bana rahe the
rickshaw chala rahe the
par hum hi mare gaye
jabki jine ke liye hum marne ko taiyar the
hamare bachche talwar ki nonk par rakh diye gaye
hamari aurton ka pet chira gaya
ghar jala diye gaye
ganw loot liye gaye
par har bar hum kaam par laute
kaam se lautne ke liye
hum kabhi alag se nahin dikhe
har bar sankhyaon ki tarah shamil the bheeD mein
mritkon ki sankhya ki tarah
berozgaron ki sankhya ki tarah
bhukhamri ke shikaron ki sankhya ki tarah
baDh aur sukha piDiton ki sankhya ki tarah
atmhatyaon ki sankhya ki tarah
woton ki sankhya ki tarah bhi
aur choton ki sankhya ki tarah bhi
eklawy ke desh mein ungli kat jane ki ghatna
loktantr ke parw ki tarah manai jati rahi
aur kaha gaya jo jiwan aur mirtyu mein
apni ichha se jiwan bhi nahin chun sakte
we desh ki sarkar chun rahe hain
hamare pas chunne ka adhikar nahin tha
chunne ka bhram bhar tha
jabki chun rahe the giddh
rah rah kar hamari deh
chun rahe the diwaren
chun rahe the hamein
chupchap mar jane ke liye
ye chunaw parw ki tarah manaye jate
jabki rona tha chhati peet kar
ki chun liye gaye hum shikar ke liye
ki chun diye gaye hum diwar mein
hum asampadit kawita ki tarah
sankalnon se bahar rahe
bepta chitthi ki tarah bhatakte rahe
wyakaran ke dosh se bhare waky ki tarah
tiriskrit rahe
kisi taral swapn ki tarah
wismrit rahe
jabki hona ye chahiye tha
ki raja ki gardan pakaD kar latak jayen hum
tabiz ki tarah nahin
phansi ke phande ki tarah
uske panw se lipat jaye
bilakhti hatheliyon ki tarah nahin
kantili jhaDiyon ki tarah
hum yaad karen koi bhuli hui baat
aur chhalang laga kar sagar par kar jayen
patthron par apni ichhayen likhen
aur we tairne lagen pani mein
hum bhookh ka ek pul banayen
aur roti tak nikal jayen,
sir tane hue shan se
apne nukile hathon se cheer den sinhasan
aur apna nam lekar batayen
ki zaruri hai ek ek adami
uski zindagi aur maut
uske sapne aur neend
uski barish aur uski dhoop
hum apne ganwon se niklen
hamne shahron, apne gharon se
aur rajdhani mein jakar kahen
ki desh sirf rajdhani nahin hota
hum paglaye hue se dauDen idhar udhar
aur sari sarahden toot kar bikhar jayen
dronacharyon se kahen ki eklawy ki neend toot gai hai
usne ungli katane se mana kar diya hai
wo apne anguthe ko bachane ke liye jaan bhi de sakta hai
mahl ki diwaron par apne khoon se likh den
ata dal chawal ka bhaw
aur apne pasine ke pair chhu kar wachan den use
ki koi nahin kar sakega uska apman
par afsos, behad afsos
ki sirf jine ke liye jite rahe
kal dekhne ki ichha mein gardan tak dhanse hum
aj sab kuch sah sakte the
wo sab kuch jo jaan bhi le sakta tha
wo sab kuch jo ek manushya ko kabhi nahin sahna chahiye
hum jine ke liye itne taral hue
itne saral hue
ki jine ke liye mar bhi sakte the hum
rengna kam paD raha tha jine ke liye
स्रोत :
रचनाकार : अनुराग अनंत
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.