किताबें उठाती हूँ
पलटती हूँ पन्ने
लेकिन आँखें!
आँखें कहीं टिकती ही नहीं
शब्द झिलमिलाते हैं
शरारती बच्चे के फेंके पत्थर-से
लगते हैं माथे पर
सोचती हूँ—
क्या ये वही परिचित शब्द हैं
जिसे अगली कक्षाओं में
जाने के उत्साह से
पढ़ लिया करती थी...
दुपहर होते ऊब से भर जाती हूँ
सोचती हूँ—
पहले की दुपहर में उमस तो थी
पर इतनी ऊब न थी
बग़ल में एक फ़ोन बजने के इंतज़ार में
रोज़ चार्ज पर लगता है
कहीं से आवेगा आज
बुलावा नौकरी का
दिन भर की चुप्पी से
उतर आता है आवाज़ में
मन का भारीपन
शीशे में अपनी ही आँखें लगती हैं
किसी अँधेरी खोह-सी
भरी हूँ डँसे जाने की आशंका से
या तालाब में घोल दी गई है स्याही
जिसमें ऊभ-जूभ करती
दम तोड़ रही हैं मछलियाँ
कमरे की भारी हवा
दबाती है मेरे सीने को
माँ रात-रात भर कुहकती है
ज्यों पिता ले आए हों उसकी सौत
थके-हारे पिता ने साध लिया है मौन
बहन घरी-कुघरी कोसती है ख़ुद को
मुझ तक नहीं पहुँचती
कोई धुन
कोई लय
पुरानी याद किन कोठरियों में बंद है
कौन-सी चाभियाँ खोलती हैं किन तालों को
समय के बहाव में कौन-सी दिशा है मेरी
पता नहीं
मैंने ज़ब्त कर लिया है
अपने कानों को
माँ की चिंता वाजिब है
पिता और भाई की भी
बहन चील की तरह मंडराती है रातों को
कभी नागिन-सी फुँफकारती है
चारपाई के नीचे
जैसे उसकी क़ब्र का फूल
नोच रहा हो कोई
हवा कहती है—लौट आ!
ज़िद मत कर
मैं सोचती हूँ—
अगली सुबह की शुरुआत कहाँ से करूँ...
kitaben uthati hoon
palatti hoon panne
lekin ankhen!
ankhen kahin tikti hi nahin
shabd jhilmilate hain
shararti bachche ke phenke patthar se
lagte hain mathe par
sochti hoon—
kya ye wahi parichit shabd hain
jise agli kakshaon mein
jane ke utsah se
paDh liya karti thi
duphar hote ub se bhar jati hoon
sochti hoon—
pahle ki duphar mein umas to thi
par itni ub na thi
baghal mein ek phone bajne ke intzar mein
roz charge par lagta hai
kahin se awega aaj
bulawa naukari ka
din bhar ki chuppi se
utar aata hai awaz mein
man ka bharipan
shishe mein apni hi ankhen lagti hain
kisi andheri khoh si
bhari hoon Danse jane ki ashanka se
ya talab mein ghol di gai hai syahi
jismen ubh joobh karti
dam toD rahi hain machhliyan
kamre ki bhari hawa
dabati hai mere sine ko
man raat raat bhar kuhakti hai
jyon pita le aaye hon uski saut
thake hare pita ne sadh liya hai maun
bahan ghari kughri kosti hai khu ko
mujh tak nahin pahunchti
koi dhun
koi lai
purani yaad kin kothariyon mein band hai
kaun si chabhiyan kholti hain kin talon ko
samay ke bahaw mein kaun si disha hai meri
pata nahin
mainne zabt kar liya hai
apne kanon ko
man ki chinta wajib hai
pita aur bhai ki bhi
bahan cheel ki tarah manDrati hai raton ko
kabhi nagin si phunphakarati hai
charpai ke niche
jaise uski qabr ka phool
noch raha ho koi
hawa kahti hai—laut aa!
zid mat kar
main sochti hoon—
agli subah ki shuruat kahan se karun
kitaben uthati hoon
palatti hoon panne
lekin ankhen!
ankhen kahin tikti hi nahin
shabd jhilmilate hain
shararti bachche ke phenke patthar se
lagte hain mathe par
sochti hoon—
kya ye wahi parichit shabd hain
jise agli kakshaon mein
jane ke utsah se
paDh liya karti thi
duphar hote ub se bhar jati hoon
sochti hoon—
pahle ki duphar mein umas to thi
par itni ub na thi
baghal mein ek phone bajne ke intzar mein
roz charge par lagta hai
kahin se awega aaj
bulawa naukari ka
din bhar ki chuppi se
utar aata hai awaz mein
man ka bharipan
shishe mein apni hi ankhen lagti hain
kisi andheri khoh si
bhari hoon Danse jane ki ashanka se
ya talab mein ghol di gai hai syahi
jismen ubh joobh karti
dam toD rahi hain machhliyan
kamre ki bhari hawa
dabati hai mere sine ko
man raat raat bhar kuhakti hai
jyon pita le aaye hon uski saut
thake hare pita ne sadh liya hai maun
bahan ghari kughri kosti hai khu ko
mujh tak nahin pahunchti
koi dhun
koi lai
purani yaad kin kothariyon mein band hai
kaun si chabhiyan kholti hain kin talon ko
samay ke bahaw mein kaun si disha hai meri
pata nahin
mainne zabt kar liya hai
apne kanon ko
man ki chinta wajib hai
pita aur bhai ki bhi
bahan cheel ki tarah manDrati hai raton ko
kabhi nagin si phunphakarati hai
charpai ke niche
jaise uski qabr ka phool
noch raha ho koi
hawa kahti hai—laut aa!
zid mat kar
main sochti hoon—
agli subah ki shuruat kahan se karun
स्रोत :
रचनाकार : अनुपम सिंह
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.