छेनी की लगातार पड़ती चोट से
पत्थर के अंदर थोड़ी-थोड़ी झलकने लगी है मूर्ति
नाक उभर आई है, सीना उभर रहा है
और गालों पर शर्म सिहरने लगी है
नियति के अभिशाप से अनाम अरूप हो गई
आकृति को रूप और नाम मिलने वाला है
होंठों से बारीक-सी परत हटाकर
मुस्कान उभारने की कोशिश में लगा कलाकार
बीड़ी सुलगाता है
और देर तक आँखें बंद किए खो जाता है कहीं
वह उठकर पत्थर को इस तरह देखता है
जैसे उसे दिख गया हो पीछे कोई जंगल
या थोड़ा-सा आसमान
जैसे रेशमी परदे थोड़ा परे हटाता पा लिया हो
समय का अलौकिक क्षण
उसके हाथों में छेनी शास्त्रीय नृत्य कर रही है
जैसे वह फूलों से पराग लेकर दिशाओं में घोल रहा हो
वह देश के विस्तार और समय की सीमाओं को लाँघता जाता है
आह! कितनी तड़प है उन हाथों में
न ऐसे बादल कभी धरती पर बरसे
न कभी ऐसी हवा चली
अनंत कोशिकाओं की अनंत संरचनाओं का तरल प्रवाह
जीवन और मृत्यु के दो ध्रुवों के बीच निरंतर होता हुआ
कलाकर के हाथों से टूटता जाता है प्रलय का तिलिस्म
नई दिशाएँ नए पथ प्राणों की चमकती नई धार
बंधनों को काट देने के लिए
मूर्ति की अप्रतिम सुंदर स्त्री के
लास और हास में छिपा ले गया है कलाकार
उसके पीछे का अँधेरा
जैसे अपनी तस्वीर खिंचाते समय स्त्रियाँ बरबस लाती हैं
होंठों पर मुस्कान
परिवार की उपेक्षा और समाज की अपेक्षा के दायरे में
सदियों से खोजती अपनी और सिर्फ़ अपनी जगह
अभी जैसे बोल पड़ेगी मूर्ति
पत्थर की सीमाओं को तोड़ती
फिर अपने पत्थर में समाती
और उस विवशता को समझती
कि नृत्य के लिए ज़रूरी हैं भंगिमाएँ
एक पैर का हवा में उठा होना
धूप छाँह बारिश तूफ़ान दिन-रात
देह के सवालों से निकलकर विचार और कला का पर्यटन
और कभी न भूलना कि वह एक मूर्ति है स्त्री की
chheni ki lagatar paDti chot se
patthar ke andar thoDi thoDi jhalakne lagi hai murti
naak ubhar aayi hai, sina ubhar raha hai
aur galon par sharm siharne lagi hai
niyti ke abhishap se anam arup ho gai
akriti ko roop aur naam milne vala hai
honthon se barik si parat hatakar
muskan ubharne ki koshish mein laga kalakar
biDi sulgata hai
aur der tak ankhen band kiye kho jata hai kahin
wo uthkar patthar ko is tarah dekhta hai
jaise use dikh gaya ho pichhe koi jangal
ya thoDa sa asman
jaise reshmi parde thoDa pare hatata pa liya ho
samay ka alaukik kshan
uske hathon mein chheni shastriy nritya kar rahi hai
jaise wo phulon se praag lekar dishaon mein ghol raha ho
wo desh ke vistar aur samay ki simaon ko langhata jata hai
aah! kitni taDap hai un hathon mein
na aise badal kabhi dharti par barse
na kabhi aisi hava chali
anant koshikaon ki anant sanrachnaon ka taral pravah
jivan aur mrityu ke do dhruvon ke beech nirantar hota hua
kalakar ke hathon se tutta jata hai prlay ka tilism
nai dishayen ne path pranon ki chamakti nai dhaar
bandhnon ko kaat dene ke liye
murti ki apratim sundar stri ke
laas aur haas mein chhipa le gaya hai kalakar
uske pichhe ka andhera
jaise apni tasvir khinchate samay striyan barbas lati hain
honthon par muskan
parivar ki upeksha aur samaj ki apeksha ke dayre men
sadiyon se khojti apni aur sirf apni jagah
abhi jaise bol paDegi murti
patthar ki simaon ko toDti
phir apne patthar mein samati
aur us vivashta ko samajhti
ki nritya ke liye zaruri hain bhangimayen
ek pair ka hava mein utha hona
dhoop chhaanh barish tufan din raat
deh ke savalon se nikalkar vichar aur kala ka paryatan
aur kabhi na bhulna ki wo ek murti hai stri ki

स्रोत :
रचनाकार : अनिल मिश्र
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.