अघाए लोगों को नहीं पता
कि खाने-पीने-पहनने-ओढ़ने की मज़ेदार ऋतु में
जीर्ण-शीर्ण कंबल में लिपटी एक बुढ़िया
सूर्य की प्रतीक्षा करती है रात भर
सुबह होते न होते
आ बैठती है वहाँ
जहाँ सबसे पहले आती है धूप
फिर तमाम दिन
जिधर-जिधर धूप
उधर-उधर बुढ़िया
अथवा
जिधर-जिधर बुढ़िया
उधर-उधर धूप नज़र आती है
मानो सूर्य ही
उसकी प्रतीक्षा करता है रात भर
और उदित होता है
उसको चौंतरे पर देखकर
पर एक दिन ऐसा हुआ
घनी धुँध थी चारों ओर
सूर्य छपटपटाता रहा
और उगा जब दूसरे दिन
व्याकुल बेचैन
ढूँढ़ता था बुढ़िया को ऐन उसी जगह
जहाँ कुछ लोगों के बीच
एक युवक का मुँडा हुआ सिर चमकता था।
aghaye logon ko nahin pata
ki khane pine pahanne oDhne ki mazedar ritu mein
jeern sheern kambal mein lipti ek buDhiya
surya ki pratiksha karti hai raat bhar
subah hote na hote
a baithti hai wahan
jahan sabse pahle aati hai dhoop
phir tamam din
jidhar jidhar dhoop
udhar udhar buDhiya
athwa
jidhar jidhar buDhiya
udhar udhar dhoop nazar aati hai
mano surya hi
uski pratiksha karta hai raat bhar
aur udit hota hai
usko chauntre par dekhkar
par ek din aisa hua
ghani dhundh thi charon or
surya chhapataptata raha
aur uga jab dusre din
wyakul bechain
DhunDhata tha buDhiya ko ain usi jagah
jahan kuch logon ke beech
ek yuwak ka munDa hua sir chamakta tha
aghaye logon ko nahin pata
ki khane pine pahanne oDhne ki mazedar ritu mein
jeern sheern kambal mein lipti ek buDhiya
surya ki pratiksha karti hai raat bhar
subah hote na hote
a baithti hai wahan
jahan sabse pahle aati hai dhoop
phir tamam din
jidhar jidhar dhoop
udhar udhar buDhiya
athwa
jidhar jidhar buDhiya
udhar udhar dhoop nazar aati hai
mano surya hi
uski pratiksha karta hai raat bhar
aur udit hota hai
usko chauntre par dekhkar
par ek din aisa hua
ghani dhundh thi charon or
surya chhapataptata raha
aur uga jab dusre din
wyakul bechain
DhunDhata tha buDhiya ko ain usi jagah
jahan kuch logon ke beech
ek yuwak ka munDa hua sir chamakta tha
स्रोत :
रचनाकार : विनोद पदरज
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.