कवि, तुम्हारा दिमाग़
शिकायत पेटिका तो नहीं!
कवि,तुम्हारा हृदय
कुंठाओं का क़ब्रिस्तान तो नहीं!
कवि,तुम हमेशा सोए रहते हो,
गाफ़िल रहते हो
गहरी नींद में,
सपने देखते रहते हो
ऊल-जलूल,
तुम्हें अब तो नहीं रहा
किसी मौसम का इंतज़ार,
सूर्योदय और सूर्यास्त
बाहर हैं तुम्हारी दिनचर्या से!
कवि, तुम्हें अब सच्चाई से
नहीं रहा वास्ता!
तुम भी एक पहाड़ के नीचे
दबे कराह रहे हो
महाझूठ के!
कवि,तुम्हें अब हर पल
तलाश रहती है
अवसर की,
पाला बदलने में
नेताओं से,
रंग बदलने में आगे हो
गिरगिटों से!
तुम सज़ा नहीं, बराबर चाहते हो
पुरस्कार ही पुरस्कार
जिसे गलियाना चाहते हो
उसी से गलबहियाँ करते हो,
चूमना चाहते हो हाथ उसी का
जो ख़ून में रँगे हैं,
तुम्हारे शब्द पगे रहते हैं
चापलूसी की चाशनी में!
तज दो ईर्ष्या, द्वेष और कटुताएँ,
निंदारस से ऊपर उठो
जागो कवि, देखो तो
तुमको पुकारता है
तुम्हारा ही समय
करुण स्वर में
लेकर नाम
तुम्हारा ही!
कवि, सच में
शब्दों की संगत से
बन जाओ पहरुआ,
हो जाओ सावधान,
समय को बहुत ही
ज़रूरत है
तुम्हारी...।
kavi, tumhara dimagh
shikayat petika to nahin!
kavi,tumhara hriday
kunthaon ka qabristan to nahin!
kavi,tum hamesha soe rahte ho,
gafil rahte ho
gahri neend mein,
sapne dekhte rahte ho
uul jalul,
tumhein ab to nahin raha
kisi mausam ka intzaar,
suryoday aur suryast
bahar hain tumhari dincharya se!
kavi, tumhein ab sachchai se
nahin raha vasta!
tum bhi ek pahaD ke niche
dabe karah rahe ho
mahajhuth ke!
kavi,tumhen ab har pal
talash rahti hai
avsar ki,
pala badalne men
netaon se,
rang badalne mein aage ho
giragiton se!
tum saza nahin, barabar chahte ho
puraskar hi puraskar
jise galiyana chahte ho
usi se galabhiyan karte ho,
chumna chahte ho haath usi ka
jo khoon mein range hain,
tumhare shabd page rahte hain
chaplusi ki chashni men!
kavi, tum kuch udaar bano
taj do iirshya, dvesh aur katutayen,
nindaras se uupar utho
jago kavi, dekho to
tumko pukarta hai
tumhara hi samay
karun svar men
lekar naam
tumhara hee!
kavi, sach mein
shabdon ki sangat se
ban jao paharua,
ho jao savdhan,
samay ko bahut hi
zarurat hai
tumhari. . . .
kavi, tumhara dimagh
shikayat petika to nahin!
kavi,tumhara hriday
kunthaon ka qabristan to nahin!
kavi,tum hamesha soe rahte ho,
gafil rahte ho
gahri neend mein,
sapne dekhte rahte ho
uul jalul,
tumhein ab to nahin raha
kisi mausam ka intzaar,
suryoday aur suryast
bahar hain tumhari dincharya se!
kavi, tumhein ab sachchai se
nahin raha vasta!
tum bhi ek pahaD ke niche
dabe karah rahe ho
mahajhuth ke!
kavi,tumhen ab har pal
talash rahti hai
avsar ki,
pala badalne men
netaon se,
rang badalne mein aage ho
giragiton se!
tum saza nahin, barabar chahte ho
puraskar hi puraskar
jise galiyana chahte ho
usi se galabhiyan karte ho,
chumna chahte ho haath usi ka
jo khoon mein range hain,
tumhare shabd page rahte hain
chaplusi ki chashni men!
kavi, tum kuch udaar bano
taj do iirshya, dvesh aur katutayen,
nindaras se uupar utho
jago kavi, dekho to
tumko pukarta hai
tumhara hi samay
karun svar men
lekar naam
tumhara hee!
kavi, sach mein
shabdon ki sangat se
ban jao paharua,
ho jao savdhan,
samay ko bahut hi
zarurat hai
tumhari. . . .
स्रोत :
रचनाकार : चंद्रेश्वर
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.