हम अक्सर शब्दों के अर्थ जानते हुए भी
ढूँढ़ते हैं उनमें निहितार्थ
क्योंकि हम आश्वस्त नहीं होते
कि उनको बोलने वाले का मंतव्य वही है
जो शब्दकोश में है
आदमी जब चाहे शब्दों का अर्थ
बदल लेता है अपनी सुविधानुसार
यद्यपि वे अर्थ शब्दकोश में नहीं होते
शब्द गिरगिट नहीं हैं जो रंग बदल लें
यह तो आदमी है जो रँगरेज़ की तरह
पहले शब्दों को धोता और फिर अपने पूर्वाग्रह के अनुसार
रँगता या बदरंग करता है।
हे शब्द-शिल्पी
तुम शब्दों को गढ़ते रहना
उनके दुरुपयोग का भय न करना
सुविधा के ये रंग तो चढ़ते-उतरते रहते हैं
अंत में रह जाते हैं
केवल कालजयी शब्द!
hum aksar shabdon ke arth jante hue bhi
DhunDhate hain unmen nihitarth
kyonki hum ashwast nahin hote
ki unko bolne wale ka mantawya wahi hai
jo shabdkosh mein hai
adami jab chahe shabdon ka arth
badal leta hai apni suwidhanusar
yadyapi we arth shabdkosh mein nahin hote
shabd girgit nahin hain jo rang badal len
ye to adami hai jo rangarez ki tarah
pahle shabdon ko dhota aur phir apne purwagrah ke anusar
rangata ya badrang karta hai
he shabd shilpi
tum shabdon ko gaDhte rahna
unke durupyog ka bhay na karna
suwidha ke ye rang to chaDhte utarte rahte hain
ant mein rah jate hain
kewal kalajyi shabd!
hum aksar shabdon ke arth jante hue bhi
DhunDhate hain unmen nihitarth
kyonki hum ashwast nahin hote
ki unko bolne wale ka mantawya wahi hai
jo shabdkosh mein hai
adami jab chahe shabdon ka arth
badal leta hai apni suwidhanusar
yadyapi we arth shabdkosh mein nahin hote
shabd girgit nahin hain jo rang badal len
ye to adami hai jo rangarez ki tarah
pahle shabdon ko dhota aur phir apne purwagrah ke anusar
rangata ya badrang karta hai
he shabd shilpi
tum shabdon ko gaDhte rahna
unke durupyog ka bhay na karna
suwidha ke ye rang to chaDhte utarte rahte hain
ant mein rah jate hain
kewal kalajyi shabd!
स्रोत :
रचनाकार : अजीत रायज़ादा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.