सृजन की थकन भूल जा देवता!
अभी तो पड़ी है धरा अधबनी,
अभी तो पलक में नहीं खिल सकी
नवल कल्पना की मधुर चाँदनी
अभी अधखिली ज्योत्सना की कली
नहीं ज़िंदगी की सुरभि में सनी—
अभी तो पड़ी है धरा अधबनी,
अधूरी धरा पर नहीं है कहीं
अभी स्वर्ग की नींव का भी पता!
सृजन की थकन भूल जा देवता!
रुका तू गया रुक जगत् का सृजन
तिमिरमय नयन में डगर भूल कर
कहीं खो गई रोशनी की किरन
बादलों में कहीं सो गया
नई सृष्टि का सप्तरंगी सपन
रुका तू गया जगत् का सृजन
अधूरे सृजन से निराशा भला
किस लिए; जब अधूरी स्वयं पूर्णता
सृजन की थकन भूल जा देवता!
प्रलय से निराशा तुझे हो गई
सिसकती हुई साँस की जालियों में
सबल प्राण की अर्चना खो गई
थके बाहुओं में अधूरी प्रलय
औ’ अधूरी सृजन योजना खो गई
प्रलय से निराशा तुझे हो गई
इसी ध्वंस में मूर्च्छिता हो कहीं
पड़ी हो, नई ज़िंदगी; क्या पता?
सृजन की थकन भूल जा देवता!
srijan ki thakan bhool ja dewta!
abhi to paDi hai dhara adhabni,
abhi to palak mein nahin khil saki
nawal kalpana ki madhur chandni
abhi adhakhili jyotsna ki kali
nahin zindagi ki surbhi mein sani—
abhi to paDi hai dhara adhabni,
adhuri dhara par nahin hai kahin
abhi swarg ki neenw ka bhi pata!
srijan ki thakan bhool ja dewta!
ruka tu gaya ruk jagat ka srijan
timirmay nayan mein Dagar bhool kar
kahin kho gai roshni ki kiran
badlon mein kahin so gaya
nai sirishti ka saptrangi sapan
ruka tu gaya jagat ka srijan
adhure srijan se nirasha bhala
kis liye; jab adhuri swayan purnata
srijan ki thakan bhool ja dewta!
prlay se nirasha tujhe ho gai
sisakti hui sans ki jaliyon mein
sabal paran ki archna kho gai
thake bahuon mein adhuri prlay
au’ adhuri srijan yojna kho gai
prlay se nirasha tujhe ho gai
isi dhwans mein murchchhita ho kahin
paDi ho, nai zindgi; kya pata?
srijan ki thakan bhool ja dewta!
srijan ki thakan bhool ja dewta!
abhi to paDi hai dhara adhabni,
abhi to palak mein nahin khil saki
nawal kalpana ki madhur chandni
abhi adhakhili jyotsna ki kali
nahin zindagi ki surbhi mein sani—
abhi to paDi hai dhara adhabni,
adhuri dhara par nahin hai kahin
abhi swarg ki neenw ka bhi pata!
srijan ki thakan bhool ja dewta!
ruka tu gaya ruk jagat ka srijan
timirmay nayan mein Dagar bhool kar
kahin kho gai roshni ki kiran
badlon mein kahin so gaya
nai sirishti ka saptrangi sapan
ruka tu gaya jagat ka srijan
adhure srijan se nirasha bhala
kis liye; jab adhuri swayan purnata
srijan ki thakan bhool ja dewta!
prlay se nirasha tujhe ho gai
sisakti hui sans ki jaliyon mein
sabal paran ki archna kho gai
thake bahuon mein adhuri prlay
au’ adhuri srijan yojna kho gai
prlay se nirasha tujhe ho gai
isi dhwans mein murchchhita ho kahin
paDi ho, nai zindgi; kya pata?
srijan ki thakan bhool ja dewta!
स्रोत :
पुस्तक : दूसरा सप्तक (पृष्ठ 162)
संपादक : अज्ञेय
रचनाकार : धर्मवीर भारती
प्रकाशन : भारतीय ज्ञानपीठ
संस्करण : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.