71
अर्गल है क्या जो रखे, प्रेमी उर में प्यार।
घोषण करती साफ़ ही, तुच्छ नयन-जल-धार॥
72
प्रेम-शून्य जन स्वार्थरत, साधें सब निज काम।
प्रेमी अन्यों के लिए, त्यागें हड्डी-चाम॥
73
सिद्ध हुआ प्रिय जीव का, जो तन से संयोग।
मिलन-यत्न-फल प्रेम से, कहते हैं बुध लोग॥
74
मिलनसार के भाव को, जनन करेगा प्रेम।
वह मैत्री को जन्म दे, जो है उत्तम क्षेम॥
75
इहलौकिक सुख भोगते, निश्रेयस का योग।
प्रेमपूर्ण गार्हस्थ्य का, फल मानें बुध लोग॥
76
साथी केवल धर्म का, मानें प्रेम, अजान।
त्राण करे वह प्रेम ही, अधर्म से भी जान॥
77
कीड़े अस्थिविहीन को, झुलसेगा ज्यों धर्म।
प्राणी प्रेम विहीन को, भस्म करेगा धर्म॥
78
नीरस तरु मरु भूमि पर, क्या हो किसलय-युक्त।
गृही जीव वैसा समझ, प्रेम-रहित मन-युक्त॥
79
प्रेम देह में यदि नहीं, बन भातर का अंग।
क्या फल हो यदि पास हों, सब बाहर के अंग॥
80
प्रेम-मार्ग पर जो चले, देह वही सप्राण।
चर्म-लपेटी अस्थि है, प्रेम-हीन की मान॥
71
argal hai kya jo rakhe, premi ur mein pyaar.
ghoshan karti saaf hi, tuchchh nayan jal dhaar॥
72
prem shunya jan svarthrat, sadhen sab nij kaam.
premi anyon ke liye, tyagen haDDi chaam॥
73
siddh hua priy jeev ka, jo tan se sanyog.
milan yatn phal prem se, kahte hain budh log॥
74
milansar ke bhaav ko, janan karega prem.
wo maitri ko janm de, jo hai uttam kshaem॥
75
ihlaukik sukh bhogte, nishreyas ka yog.
prempurn garhasthy ka, phal manen budh log॥
76
sathi keval dharm ka, manen prem, ajan.
traan kare wo prem hi, adharm se bhi jaan॥
77
kiDe asthivihin ko, jhulsega jyon dharm.
parani prem vihin ko, bhasm karega dharm॥
78
niras taru maru bhumi par, kya ho kislay yukt.
grihi jeev vaisa samajh, prem rahit man yukt॥
79
prem deh mein yadi nahin, ban bhatar ka ang.
kya phal ho yadi paas hon, sab bahar ke ang॥
80
prem maarg par jo chale, deh vahi sapran.
charm lapeti asthi hai, prem heen ki maan॥

स्रोत :
पुस्तक : तिरुक्कुरल : भाग 1 - धर्म-कांड
रचनाकार : तिरुवल्लुवर
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.