यदि मैं सब प्रकार की नियंत्रण-शक्ति से युक्त सम्राट् बन जाऊँ तो
निस्संदेह इस भारत देश को पृथ्वी पर स्थित स्वर्ग ही बना दूँ।
कष्ट से प्राप्त हुई स्वतंत्रता की सभी रक्षा करें, सभी महात्मा गांधी की
बताई हुई अहिंसा-नीति को स्मरण रखें।
राज्यसभा के प्रतिनिधियों के चुनाव में यही नियम रखा जाए कि
मतदान करने के लिए साक्षरता पर्याप्त है और चुने जाने के लिए विद्वत्ता।
डर, गरीबी, मुक़दमेबाज़ी तथा धर्म का बंधन—इन चारों से मुक्त
होकर सब आनंद मनाएँ।
शहरी लोगों का सुख-वैभव और समृद्धि ग्रामीणों के परिश्रम पर निर्भर
है, इसलिए सभी लोगों को गाँवों के उद्धार के लिए प्रयत्न करना चाहिए।
गाँव-गाँव में बिजली से जगमगाते सार्वजनिक उद्यान फैल जाएँ तथा स्कूल, अस्पताल,
डाकखाने और थाने सुशोभित हों।
नौकरी में एक हज़ार रुपए से ज़्यादा और सौ रुपए से कम वेतन
किसी को न दिया जाए।
विभिन्न राज्यों के शासकीय विभागों की व्यवस्था उन राज्यों की
(प्रादेशिक) भाषाओं में की जाए तथा देश के व्यवहार में उस देश की भाषा
का प्रयोग किया जाए।
गरीब और मध्यम वर्ग के लोगों पर से करों का भार घटाकर बहुत
कमाने वाले धनियों पर अधिक कर लगाओ!
भारत में गरीबों को भीख नहीं माँगनी चाहिए। जो भिखारी सशक्त
हैं, उन्हें उपयुक्त काम में लगाओ तथा अंगहीनों का पालन-पोषण करो!
सब लोगों को संस्कृत के साथ प्राथमिक शिक्षा प्राप्त करनी चाहिए
और सभी स्वस्थ शरीर वाले युवकों को सैनिक शिक्षा ग्रहण करनी चाहिए।
देववाणी संस्कृत राष्ट्रभाषा बने, क्योंकि वह प्राचीन है, अमर है, श्रेष्ठ
कवियों और मुनियों द्वारा सेवित रही है तथा अनेक भाषाओं की जननी है।
yadi main sab prakar ki niyantran shakti se yukt samrat ban jaun to
nissandeh is bharat desh ko prithvi par sthit svarg hi bana doon.
kasht se praapt hui svatantrata ki sabhi rakhsha karen, sabhi mahatma gandhi ki
batai hui ahinsa niti ko smarn rakhen.
raajy sabha ke pratinidhiyon ke chunav mein yahi niyam rakha jaye ki
matdan karne ke liye saksharata paryapt hai aur chune jane ke liye vidvatta.
Dar, garibi, mukadmen baji tatha dharm ka bandhan in charon se mukt
hokar sab anand manaye.
shahri logon ka sukh vaibhav aur samrddhi graminon ke parishram par nirbhar
hai, isliye sabhi logon ko ganvon ke uddhaar ke liye prayatn karna chahiye.
gaanv gaanv mein bijli se jagmagate sarvajnik udyaan phail jaye tatha school, aspatal,
Dakkhane aur thane sushobhit ho.
naukari mein ek hazar rupaye se zyada aur sau rupae se kam vetan
kisi ko na diya jaye.
vibhinn rajyon ke shasakiy vibhagon ki vyavastha un rajyon ki
(pradeshik) bhashaon mein ki jaye tatha desh ke vyvahar mein us desh ki bhasha
ka prayog kiya jaye.
garib aur maddhyam varg ke logon par se karo ka bhaar ghatakar bahut
kamane vale dhaniyon par adhik kar lagao!
bharat mein garibon ko bheekh nahin mangni chahiye. jo bhikhari sashakt
hai, unhen upyukt kaam mein lagao tatha anghinon ka palan poshan karo!
sab logon ko sanskrit ke saath prathamik shiksha praapt karni chahiye
aur sabhi svasth sharir vale yuvkon ko sainik shiksha grahn karni chahiye.
devavanai sanskrit rashtrabhasha bane, kyonki wo prachin hai, amar hai, shreshth
kaviyon aur muniyon dvara sevit rahi hai tatha anek bhashaon ki janani hai.

स्रोत :
पुस्तक : भारतीय कविता 1954-55 (पृष्ठ 719)
रचनाकार : वी. गोपाल आयंगर
प्रकाशन : साहित्य अकादेमी
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.