किसानों की समृद्धि के लिए जब यह नदी, संपूर्ण फल की प्राप्ति के
उद्देश्य से, मातृभूमि की अनेक कामनाओं को इकट्ठा करके वितरित करती है,
तब निष्क्रिय बने रहना कहाँ की धार्मिकता है?
अपने से निकले हुए पय (दूध, जल) से वह सब जीवों का अपने
पुत्रों की तरह पालन करती है। वह केवल अंगो का पोषण नहीं करती,
बल्कि पापों को भी नष्ट करती है।
लोगों को इस नदी का अति विस्तीर्ण तट दृष्टिगोचर हुआ, जो नाना
प्रकार के धानों से हरा-भरा होने के कारण आँखों को सुंदर लगता था
तथा जो कावेरी जल से सींचा जाने के कारण समृद्ध था।
फलों से झुके हुए तथा अपने पत्तों को त्यागने के इच्छुक आम्र आदि
प्रमुख वृक्ष ज्ञानी बनकर प्रणाम करते हुए अपनी मातृभूमि को प्रसन्न कर
रहे हैं।
कावेरी के पवित्र जल का पान करने के कारण फलों से परिपूर्ण ये
ऊँचे केर के पेड़ खड़े हैं। संसार में ये उदार वृक्ष, जड़ होने पर भी,
विष्णु-पद प्राप्त करके, भव्य गति के भागी बनते हैं।
रसों में अग्रगण्य (माधुर्य) रस को उत्पन्न करने वाली यह विस्तीर्ण
गन्नों की वाटिका सुशोभित हो रही है। अपने नए निकले कोमल दंडो से,
जिनके अग्रभाग पुष्पों से खिले हैं, वह निरंतर समृद्धि से युक्त है।
खेतों की पंक्तियों में पके हुए धान, हवा से हिलकर झुकने वाली
अपनी बालों से, इस कोवल (प्रदेश) की आराधना क्या यह सोचकर कर रहे
हैं कि वह एक दिन पृथ्वी का स्वामी बनेगा?
धान की बालों के गट्ठर उठाई हुई युवतियाँ तथा सुरा पीकर प्रसन्न हुए
किसान, स्वरों में कोयल बनकर लीलापूर्वक चल-फिर और नाच-गा रहे हैं।
लता-पौधों की पंक्तियों में चारों ओर रंग-बिरंगे फूल दिखाई दे रहे
हैं; पक्षि-श्रेणियों की, जिनमें कोयल प्रमुख है, मधुर चहचहाहट सुनाई दे रही
है; शरत्कालीन बादलों के समान कांति वाली शुभ्र गौएँ गोचर-भूमियों में ले
जाई जा रही हैं, तथा ग्वाले मधुर बंशी बजा रहे है—इस प्रकार यहाँ ऐसी
क्या वस्तु है, जो हृदय को आकर्षित नहीं करती?
kisanon ki samrddhi ke liye jab ye nadi, sampurn phal ki prapti ke
uddeshy se, matribhumi ki anek kamnaon ko ikattha karke vitrit karti hai,
tab nishkriy bane rahna kahan ki dharmikta hai?
apne se nikle hue pay (doodh, jal) se wo sab jivon ka apne
putron ki tarah palan karti hai. wo keval ango ka poshan nahin karti,
balki papon ko bhi nasht karti hai.
logon ko is nadi ka ati vistirn tat drishtigochar hua, jo nana
prakar ke dhanon se hara bhara hone ke karan ankhon ko sundar lagta tha
tatha jo kaveri jal se sincha jane ke karan samrddh tha.
phalo se jhuke hue tatha apne patton ko tyagne ke ichchhuk aamr aadi
pramukh vriksh gyani bankar parnam karte hue apni matribhumi ko prasann kar
rahe hain.
kaveri ke pavitra jal ka paan karne ke karan phalon se paripurn the
unche ker ke peD khaDe hain. sansar mein ye udaar vriksh, jaD hone par bhi,
vishnu pad praapt karke, bhavy gati ke bhagi bante hain.
rason mein agragny (madhurya) ras ko utpann karne vali ye vistirn
gannon ki vatika sushobhit ho rahi hai. apne nae nikle komal danDo se,
jinke agrabhag pushpon se khile hain, wo nirantar samrddhi se yukt hai.
kheton ki panktiyon mein pake hue dhaan, hava se hilkar jhukne vali
apni balon se, is koval (pardesh) ki aradhana kya ye sochkar kar rahe
hain ki wo ek din prithvi ka svami banega?
dhaan ki balo ke gatthar uthaye hue yuvatiyan tatha sura pikar prasann hue
kisan, svron mein koel bankar lilapurvak chal phir aur naach ga rahe hain.
lata paudhon ki panktiyon mein charo or rang birange phool dikhai de rahe
hain; pakshi shreniyon ki, jinmen koel pramukh hai, madhur chahchahahat sunai de rahi
hai; sharatkalin badalon ke saman kanti vali shubhr gauen gochar bhumiyon mein le
jai ja rahi hai, tatha gvale madhur banshi baja rahe hai—is prakar yahan aisi
kya vastu hai, hirdai ko akarshait nahin karti?

स्रोत :
पुस्तक : भारतीय कविता 1954-55 (पृष्ठ 701)
रचनाकार : पी. नारायण नायर
प्रकाशन : साहित्य अकादेमी
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.