ईश्वर उन तरुणों की सदैव रक्षा करे, जो नवीन जीवन के हर्ष से
भरे हुए हैं, जो बलवान् हैं, जो सफलता-प्राप्ति में विश्वास रखते हैं, जो
कुशल हैं तथा जो गुणवान्, शास्त्रों का मनन करने वाले और विनम्र हैं।
शरीर की दृढ़ता और प्रबल करो। मन की ग्रहण-शक्ति का विस्तार हो।
सुहृदों के स्नेह से हृदय प्रकाशित हो। व्यवहार में गुरु-भक्ति को भी स्थान मिले।
हम सदा अपने कुलोचित मार्ग का अनुसरण करें। जन्मभूमि के हित
के लिए अपनी शक्ति को संगठित कर तथा भगवान् की सेवा से अपना हृदय
पवित्र कर हम अंधकार को दूर करें और सुख की वृद्धि करें।
ishvar un tarunon ki sadaiv rakhsha kare, jo navin jivan ke harsh se
bhare hue hai, jo balvan hain, jo saphalta prapti mein vishvas rakhte hai, jo
kushal hai tatha jo gunvan, shastron ka manan karne vale aur vinamr hai.
sharir ki driDhta aur prabal karo. man ki grahn shakti ka vistar ho.
suhrido ke sneh se hirdai prakashit ho. vyvahar mein guru bhakti ko bhi sthaan mile.
hum sada apne kulochit maarg ka anusarn kare. janm bhumi ke hit
ke liye apni shakti ko sangthit kar tatha bhagvan ki seva se apna hirdai
pavitra kar hum andhkar ko door kare aur sukh ki vriddhi kare.

स्रोत :
पुस्तक : भारतीय कविता 1954-55 (पृष्ठ 677)
रचनाकार : आर. एंटोइने
प्रकाशन : साहित्य अकादेमी
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.