नागरिको,
उत्सव मनाओ कि सम्राज्ञी के दर्शन तुम्हें करने हैं
भीतभाव से प्रणाम सँभालते हुए अपने दुखों के कीचड़ में
रुँधे गले से ही स्वागत गीत गाते हुए
उत्सव मनाओ
सम्राज्ञी का रथ तुम्हारी अँतड़ियों से गुज़रेगा
रथ गुज़रेगा तुम्हारी आत्मा की कराह और शोक से
तुम्हारे स्वप्नों की हरियालियाँ रौंदता हुआ
रथ गुज़रेगा रंगीन झरनों और पताकाओं की ऊब-डूब में
सँभलकर अपनी मुर्दनी और आक्रामक मुद्रा को
मीठी रहसीली स्वागत भंगिमाओं में छिपाते हुए
स्वतंत्रता की इस दोग़ली बहार में
झुक जाओ भद्र भाइयो,
सम्राज्ञी आ रही हैं
सम्राज्ञी तुम्हारी सामूहिक नींद पर झुकी हुई
आवाज़ों के पुल से धीरे-धीरे नीचे की ओर उतरती हुई
सम्राज्ञी
तुम्हारी आँखों को
कृतज्ञता और आभार के जल से भरती हुई
आने वाली हैं
सड़कों के किनारे बच्चे खड़े होने चाहिए, अधनंगे मुस्कुराते
बचपन के उदासीन खंडहरों में पड़े फटे हुए चित्रों से
हाथों में फूल लिए बच्चे...
स्त्रियाँ तुम्हारी खिड़कियों से झाँकती हाथ हिलाती
खड़ी होनी चाहिए ऋतुओं के कामनाहीन सूनेपन में
ख़ुशियों की आहटें अगोरती स्त्रियाँ...
पेड़ होने चाहिए तुम्हारी ठूँठ इच्छाओं की तरह सन्नद्ध विविधवर्णी
और हर तरफ़ सदियों की मुर्दनी भरे ऊसर आँखें
बिछी होनी चाहिए आती-जाती हवाओं के रेशे-रेशे में—
कि चौकन्ने सभासद हर कहीं मौजूद होंगे
कि चौकन्ने सभासद वायदों और सपनों की गुनगुनाहट में
हर कहीं मौजूद होंगे तुम्हारे तेवर खँगालते
भविष्य और उत्सव के फूलों के आस-पास
इस औंधे नगर में हुई हत्याओं की सूचनाएँ सभासद देंगे उन्हें
कि ख़तरनाक बंदी मारे गए कारागार लाँघते हुए
कि कुछ असभ्य लोग मारे गए कुलीन नागरिक आवासों के आस-पास
अपने अँधेरों से
संतुष्ट और शालीन अमात्यों का रिश्ता ढूँढ़ते हुए
और लज्जित भाव से तुम सब सिर हिलाओगे
कि तुमने व्यर्थ का साहस ख़र्च किया व्यर्थ का मूर्खतापूर्ण विरोध
कि राजकीय हिंसा की सारी घटनाएँ जन्म-जन्मांतरों के नियम हैं
दुस्साहसिक प्रजाओं के लिए...
घोड़ों, मनुष्यों और शस्त्रास्त्रों की भीषण चकाचौंध में
तुम्हारी टाँगों की लगातार थरथराहट सम्राज्ञी को दिख न जाए
ध्यान रखना, स्नायुओं की सिहरन शांत रखना
सम्राज्ञी आने वाली हैं तुम्हारे नगर को आगामी वर्षों के लिए
गर्म और सुखद स्मृतियों और आश्वासनों से भरने
इसके पहले कि रथ के घोड़ों की पहली टाप सुनाई दे और
धूल के पहले बादल सीमांत पर उठते हुए नगर की ओर आएँ
तुम एक पहचानहीन हलचल हो जाओ
जिसका कोई भी उपयोग सम्राज्ञी के सैनिक और सभासद करें
तैरते हैं ज़हरीले बादल तुम्हारी आकांक्षाओं के आकाश में
सभागारों में उमड़ते आते हैं झूठ के हज़ारों रंग
सम्राज्ञी की प्रजावत्सलता से गद्गद
अपने ज़ंग लगे चेहरे माँज आओ प्रिय नगरवासियो,
सम्राज्ञी आ रही हैं
nagariko,
utsaw manao ki samragyi ke darshan tumhein karne hain
bhitbhaw se parnam sambhalte hue apne dukhon ke kichaD mein
rundhe gale se hi swagat geet gate hue
utsaw manao
samragyi ka rath tumhari antDiyon se guzrega
rath guzrega tumhari aatma ki karah aur shok se
tumhare swapnon ki haryaliyan raundta hua
rath guzrega rangin jharnon aur patakaon ki ub Doob mein
sanbhalakar apni murdani aur akramak mudra ko
mithi rahsili swagat bhangimaon mein chhipate hue
swtantrta ki is doghli bahar mein
jhuk jao bhadr bhaiyo,
samragyi aa rahi hain
samragyi tumhari samuhik neend par jhuki hui
awazon ke pul se dhire dhire niche ki or utarti hui
samragyi
tumhari ankhon ko
kritagyta aur abhar ke jal se bharti hui
ane wali hain
saDkon ke kinare bachche khaDe hone chahiye, adhnange muskurate
bachpan ke udasin khanDahron mein paDe phate hue chitron se
hathon mein phool liye bachche
striyan tumhari khiDakiyon se jhankti hath hilati
khaDi honi chahiye rituon ke kamnahin sunepan mein
khushiyon ki ahten agorti striyan
peD hone chahiye tumhari thoonth ichchhaon ki tarah sannaddh wiwidhwarni
aur har taraf sadiyon ki murdani bhare usar ankhen
bichhi honi chahiye aati jati hawaon ke reshe reshe mein—
ki chaukanne sabhasad har kahin maujud honge
ki chaukanne sabhasad waydon aur sapnon ki gungunahat mein
har kahin maujud honge tumhare tewar khangalte
bhawishya aur utsaw ke phulon ke aas pas
is aundhe nagar mein hui hatyaon ki suchnayen sabhasad denge unhen
ki khatarnak bandi mare gaye karagar langhate hue
ki kuch asabhy log mare gaye kulin nagarik awason ke aas pas
apne andheron se
santusht aur shalin amatyon ka rishta DhunDhate hue
aur lajjit bhaw se tum sab sir hilaoge
ki tumne byarth ka sahas kharch kiya byarth ka murkhtapurn wirodh
ki rajakiy hinsa ki sari ghatnayen janm janmantron ke niyam hain
dussahasik prjaon ke liye
ghoDon, manushyon aur shastrastron ki bhishan chakachaundh mein
tumhari tangon ki lagatar thartharahat samragyi ko dikh na jaye
dhyan rakhna, snayuon ki siharan shant rakhna
samragyi aane wali hain tumhare nagar ko agami warshon ke liye
garm aur sukhad smritiyon aur ashwasnon se bharne
iske pahle ki rath ke ghoDon ki pahli tap sunai de aur
dhool ke pahle badal simant par uthte hue nagar ki or ayen
tum ek pahchanhin halchal ho jao
jiska koi bhi upyog samragyi ke sainik aur sabhasad karen
tairte hain zahrile badal tumhari akankshaon ke akash mein
sabhagaron mein umaDte aate hain jhooth ke hazaron rang
samragyi ki prjawatsalta se gadgad
apne zang lage chehre manj aao priy nagarwasiyo,

स्रोत :
रचनाकार : पंकज सिंह
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.