रात के चौथे प्रहर
जब हम व्यस्त थे
यह समझने में कि
सब्लिमेशन की प्रक्रिया क्या है…
तुमने किताब के उन दो पन्नों के बीच
बुकमार्क रखकर
अपनी उँगली को
मेरे होंठों के बीच फँसा दिया
तुम्हारी गहरी काली आँखें
उलझे, घुँघराले, काले-सफ़ेद बाल
तुम्हारी नाभि के नीचे जले का दाग़
जिसे चूमते वक़्त
तुम्हारी बातें याद आईं
कि कैसे उसने गर्म तवा फेंक दिया था
सिर्फ़ इतनी-सी बात पर
कि तुमने फ़ोन उठा सकने में
देर कर दी थी
तुम्हारे जिस्म का नमक
अब भी मेरे होंठों का ज़ायक़ा है
तुम्हारे निशान मेरे होंठों पर छाप छोड़ चुके हैं
उस सिगरेट का आख़िरी कश
तुम्हारे होंठों से लेना
उफ़्!
सोचती हूँ—
गर ख़ुदा कहीं होगा,
बेशक स्त्री ही होगा।
raat ke chauthe prahar
jab hum vyast the
ye samajhne mein ki
sablimeshan ki prakriya kya hai…
tumne kitab ke un do pannon ke beech
bukmark rakhkar
apni ungli ko
mere honthon ke beech phansa diya
tumhari gahri kali ankhen
uljhe, ghunghrale, kale safed baal
tumhari nabhi ke niche jale ka daagh
jise chumte vaqt
tumhari baten yaad ain
ki kaise usne garm tava phenk diya tha
sirf itni si baat par
ki tumne fon utha sakne men
der kar di thi
tumhare jism ka namak
ab bhi mere honthon ka zayqa hai
tumhare nishan mere honthon par chhaap chhoD chuke hain
us sigret ka akhiri kash
tumhare honthon se lena
uf!
sochti hoon—
gar khuda kahin hoga,
beshak stri hi hoga.
raat ke chauthe prahar
jab hum vyast the
ye samajhne mein ki
sablimeshan ki prakriya kya hai…
tumne kitab ke un do pannon ke beech
bukmark rakhkar
apni ungli ko
mere honthon ke beech phansa diya
tumhari gahri kali ankhen
uljhe, ghunghrale, kale safed baal
tumhari nabhi ke niche jale ka daagh
jise chumte vaqt
tumhari baten yaad ain
ki kaise usne garm tava phenk diya tha
sirf itni si baat par
ki tumne fon utha sakne men
der kar di thi
tumhare jism ka namak
ab bhi mere honthon ka zayqa hai
tumhare nishan mere honthon par chhaap chhoD chuke hain
us sigret ka akhiri kash
tumhare honthon se lena
uf!
sochti hoon—
gar khuda kahin hoga,
beshak stri hi hoga.
स्रोत :
रचनाकार : शालू
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.