विशालकाय मशीन के सामने
बौने इंसानी आकार
पत्थर, मिट्टी गिट्टी, धूल का धुआँ
बाल्टियों से बिखरता पानी—
इस सबके बीच, ज़मीन के कुछ
हिस्से की क़िस्मत बदल रही है
रोएगा ही अब तो यह उम्र-भर
अब नहीं खिलखिलाते-भागते बच्चों के
नंगे पैर गुदगुदाएँगे इसे
अब नहीं किसी बुढ़िया की टूटी चप्पल
सहलाएगी इसे
कोई लापरवाही से मूँगफली खाते-खाते
छिलके गिराते-गिराते नहीं गुज़रेगा यहाँ से
नहीं, अब नहीं होगा वैसा कुछ
पदोन्नति होने पर
पगडंडियाँ भी हृदयहीन हो जाती हैं
ज़मीन का यह हिस्सा
हज़ारों साल छटपटाता रहेगा यहीं
रोज़ कुचला जाएगा रोज़ उभर आएगा
हर घड़ी लोहे के दैत्य हमला करेंगे इस पर
लूट ले जाएँगे सर्वस्व
इसकी मौत की ख़बर कभी अख़बार में नहीं आएगी।
wishalakay machine ke samne
baune insani akar
patthar, mitti gitti, dhool ka dhuan
baltiyon se bikharta pani—
is sabke beech, zamin ke kuch
hisse ki qimat badal rahi hai
roega hi ab to ye umr bhar
ab nahin khilkhilate bhagte bachchon ke
nange pair gudgudayenge ise
ab nahin kisi buDhiya ki tuti chappal
sahlayegi ise
koi laparwahi se mungaphali khate khate
chhilke girate girate nahin guzrega yahan se
nahin, ab nahin hoga waisa kuch
padonnati hone par
pagDanDiyan bhi hridayhin ho jati hain
zamin ka ye hissa
hazaron sal chhatpatata rahega yahin
roz kuchla jayega roz ubhar ayega
har ghaDi lohe ke daity hamla karenge is par
loot le jayenge sarwasw
iski maut ki khabar kabhi akhbar mein nahin ayegi
wishalakay machine ke samne
baune insani akar
patthar, mitti gitti, dhool ka dhuan
baltiyon se bikharta pani—
is sabke beech, zamin ke kuch
hisse ki qimat badal rahi hai
roega hi ab to ye umr bhar
ab nahin khilkhilate bhagte bachchon ke
nange pair gudgudayenge ise
ab nahin kisi buDhiya ki tuti chappal
sahlayegi ise
koi laparwahi se mungaphali khate khate
chhilke girate girate nahin guzrega yahan se
nahin, ab nahin hoga waisa kuch
padonnati hone par
pagDanDiyan bhi hridayhin ho jati hain
zamin ka ye hissa
hazaron sal chhatpatata rahega yahin
roz kuchla jayega roz ubhar ayega
har ghaDi lohe ke daity hamla karenge is par
loot le jayenge sarwasw
iski maut ki khabar kabhi akhbar mein nahin ayegi
स्रोत :
पुस्तक : साक्षात्कार 40-41 (पृष्ठ 41)
संपादक : सोमदत्त
रचनाकार : राजीव सभरवाल
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.